aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chala aa raha hun samundaron ke visal se

Noon Meem Rashid

chala aa raha hun samundaron ke visal se

Noon Meem Rashid

MORE BYNoon Meem Rashid

    chalā aa rahā huuñ samundaroñ ke visāl se

    ka.ī lazzatoñ sitam liye

    jo samundaroñ ke fusūñ meñ haiñ

    mirā zehn hai vo sanam liye

    vahī reg-zār hai sāmne

    vahī reg-zār ki jis meñ ishq ke aa.ine

    kisī dast-e-ġhaib se TuuT kar

    rah-e-tār-e-jāñ meñ bikhar ga.e!

    abhī aa rahā huuñ samundaroñ mahak liye

    vo thapak liye jo samundaroñ nasīm meñ

    hai hazār rañg se ḳhvāb-hā-e-ḳhunuk liye

    chalā aa rahā huuñ samundaroñ namak liye

    ye barahnagī-e-azīm terī dikhā.ūñ maiñ

    (jo gadā-gadī bahāna hai)

    koī rāh-rau ho to us se raah dāstāñ

    maiñ sunūñ fasāna samundaroñ sunā.ūñ maiñ

    (ki samundaroñ fasāna ishq gastarash fasāna hai)

    ye barahnagī jise dekh kar baḌheñ dast o na khule zabāñ

    na ḳhayāl meñ rahe tavāñ

    to vo reg-zār ki jaise rah-zan-e-pīr ho

    jise tab-e-rāh-zanī na ho

    ki misāl-e-tā.er-e-nīm-jāñ

    jise yād-e-bāl-o-parī na ho

    kisī rāh-rau se umīd-e-rahm-o-karam liye

    maiñ bharā huā huuñ samundaroñ ke jalāl se

    chalā aa rahā huuñ maiñ sāhiloñ hasham liye

    hai abhī inhī taraf mirā dar-e-dil khulā

    ki nasīm-e-ḳhandā ko rah mile

    mirī tīrgī ko nigah mile

    vo surūr-o-soz-e-sadaf abhī mujhe yaad hai

    abhī chāTtī hai samundaroñ zabāñ mujhe

    mire paañv chhū ke nikal ga.ī koī mauj-e-sāz ba-kaf abhī

    vo halāvateñ mire hast o buud meñ bhar ga.iiñ

    vo jazīre jin ke ufuq hujūm-e-sahar se dīd-bahār the

    vo parinde apnī talab meñ jo sar-e-kār the

    vo parinde jin safīr meñ thiiñ risālateñ

    abhī us safīr jalvateñ mire ḳhuuñ meñ haiñ

    abhī zehn hai vo sanam liye

    jo samundaroñ ke fusūñ meñ haiñ

    chalā aa rahā huuñ samundaroñ ke jamāl se

    sadaf o kanār ġham liye

    chala aa raha hun samundaron ke visal se

    kai lazzaton ka sitam liye

    jo samundaron ke fusun mein hain

    mera zehn hai wo sanam liye

    wahi reg-zar hai samne

    wahi reg-zar ki jis mein ishq ke aaine

    kisi dast-e-ghaib se TuT kar

    rah-e-tar-e-jaan mein bikhar gae!

    abhi aa raha hun samundaron ki mahak liye

    wo thapak liye jo samundaron ki nasim mein

    hai hazar rang se KHwab-ha-e-KHunuk liye

    chala aa raha hun samundaron ka namak liye

    ye barahnagi-e-azim teri dikhaun main

    (jo gada-gadi ka bahana hai)

    koi rah-rau ho to us se rah ki dastan

    main sunun fasana samundaron ka sunaun main

    (ki samundaron ka fasana ishq ki gastarash ka fasana hai)

    ye barahnagi jise dekh kar baDhen dast o pa na khule zaban

    na KHayal hi mein rahe tawan

    to wo reg-zar ki jaise rah-zan-e-pir ho

    jise tab-e-rah-zani na ho

    ki misal-e-taer-e-nim-jaan

    jise yaad-e-baal-o-pari na ho

    kisi rah-rau se umid-e-rahm-o-karam liye

    main bhara hua hun samundaron ke jalal se

    chala aa raha hun main sahilon ka hasham liye

    hai abhi inhi ki taraf mera dar-e-dil khula

    ki nasim-e-KHanda ko rah mile

    meri tirgi ko nigah mile

    wo surur-o-soz-e-sadaf abhi mujhe yaad hai

    abhi chaTti hai samundaron ki zaban mujhe

    mere panw chhu ke nikal gai koi mauj-e-saz ba-kaf abhi

    wo halawaten mere hast o bud mein bhar gain

    wo jazire jin ke ufuq hujum-e-sahar se did-bahaar the

    wo parinde apni talab mein jo sar-e-kar the

    wo parinde jin ki safir mein thin risalaten

    abhi us safir ki jalwaten mere KHun mein hain

    abhi zehn hai wo sanam liye

    jo samundaron ke fusun mein hain

    chala aa raha hun samundaron ke jamal se

    sadaf o kanar ka gham liye

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Zia Mohyeddin

    Zia Mohyeddin

    Noon Meem Rashid

    Noon Meem Rashid

    RECITATIONS

    Zia Mohyeddin

    Zia Mohyeddin,

    Zia Mohyeddin

    chala aa raha hun samundaron ke visal se Zia Mohyeddin

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now