Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chalna aur sochna

Iftikhar Bukhari

chalna aur sochna

Iftikhar Bukhari

MORE BYIftikhar Bukhari

    shāyad ek saath sīkhtā hai aadmī

    chalnā aur sochnā

    ek sahn meñ

    ek din

    maiñ siikh gayā

    chalnā

    aur sochnā

    chiḌiyoñ

    paudoñ

    aur rang birañge kīḌoñ ke darmiyān

    maañ kahtī

    tum itnā chalte ho

    ek siidh meñ chalo

    to shaam tak pahuñch jaao

    kisī aur shahr meñ

    maiñ ne āvārgī

    dopahroñ meñ

    akele

    tāroñ bharī rātoñ meñ

    udaas shā.iroñ

    aur jugnuoñ ke saath

    maiñ chaltā rahā

    galiyoñ meñ

    shāh-rāhoñ par

    julūsoñ meñ

    janāzoñ ke saath

    sochte hue

    nā-insāfī inqilāb

    maut ḳhudā aur jahannum

    aur bahut fuzūliyāt

    maiñ chaltā rahā

    bārishoñ meñ

    barf-barīyoñ meñ

    dhund meñ

    dhuup aur āñdhiyoñ meñ

    sochte hue

    jo maiñ batā saktā huuñ faḳhr se

    aur vo bhī

    jo maiñ ḳhud se bhī chhupātā huuñ

    maiñ ajnabī mulkoñ meñ gayā

    tanhā chalne ke liye

    tanhā sochne ke liye

    ab maiñ lauT aayā huuñ

    Dhaltī umr meñ

    baġhair kahīñ pahuñche hue

    ab maiñ kahīñ nahīñ jaatā

    par ab bhī chaltā huuñ

    har roz

    kam-az-kam

    ek ghanTa

    tez tez

    paaoñ chakkī par

    ye sochte hue

    ki maiñ kab tak chalūñgā

    maiñ kab tak sochūñgā

    shayad ek sath sikhta hai aadmi

    chalna aur sochna

    ek sahn mein

    ek din

    main sikh gaya

    chalna

    aur sochna

    chiDiyon

    paudon

    aur rang birange kiDon ke darmiyan

    man kahti

    tum itna chalte ho

    ek sidh mein chalo

    to sham tak pahunch jao

    kisi aur shahr mein

    main ne aawargi ki

    dopahron mein

    akele

    taron bhari raaton mein

    udas shairon

    aur jugnuon ke sath

    main chalta raha

    galiyon mein

    shah-rahon par

    juluson mein

    janazon ke sath

    sochte hue

    na-insafi inqilab

    maut KHuda aur jahannum

    aur bahut si fuzuliyat

    main chalta raha

    barishon mein

    barf-bariyon mein

    dhund mein

    dhup aur aandhiyon mein

    sochte hue

    jo main bata sakta hun faKHr se

    aur wo bhi

    jo main KHud se bhi chhupata hun

    main ajnabi mulkon mein gaya

    tanha chalne ke liye

    tanha sochne ke liye

    ab main lauT aaya hun

    Dhalti umr mein

    baghair kahin pahunche hue

    ab main kahin nahin jata

    par ab bhi chalta hun

    har roz

    kam-az-kam

    ek ghanTa

    tez tez

    paon chakki par

    ye sochte hue

    ki main kab tak chalunga

    main kab tak sochunga

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now