charaghan
charāġhāñ charāġhāñ
shagufta dar-o-bām sajte sañvarte hue āshiyāñ
vo bhī shām-e-charāġhāñ
ki us raqs kartī huī anjuman meñ
tabassum tabassum farozāñ daraḳhshāñ
dil-e-nā-tavāñ reza-reza sitāroñ ke āñgan meñ
tahlīl hotī huī dāstāñ
mujh ko imroz vo istitā'at 'atā kar
pighaltā rahūñ maiñ sulagtā rahūñ
lamha lamha musalsal lahū ke tasalsul meñ jaltā rahūñ
us ke raushan charāġhoñ meñ jashn-e-jamāl-e-tulū’-e-sahar tak
shafaq-tā-shafaq mauj-dar-mauj shor-e-talātum meñ
jazb-e-jalāl-e-farāz-e-safar tak
charaghan charaghan
shagufta dar-o-baam sajte sanwarte hue aashiyan
wo bhi sham-e-charaghan
ki us raqs karti hui anjuman mein
tabassum tabassum farozan daraKHshan
dil-e-na-tawan reza-reza sitaron ke aangan mein
tahlil hoti hui dastan
mujh ko imroz wo istita'at 'ata kar
pighalta rahun main sulagta rahun
lamha lamha musalsal lahu ke tasalsul mein jalta rahun
us ke raushan charaghon mein jashn-e-jamal-e-tulu’-e-sahar tak
shafaq-ta-shafaq mauj-dar-mauj shor-e-talatum mein
jazb-e-jalal-e-faraaz-e-safar tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.