Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chham-chhama-chham chham

Sada Ambalvi

chham-chhama-chham chham

Sada Ambalvi

MORE BYSada Ambalvi

    chham-chhamā-chham chhamam chham-chhamā-chham chhamam

    kāñch chūḌiyāñ chham-chhamā-chham chhamam

    Tuut jā.eñgī kuchh dinoñ meñ balam

    kāñch chūḌiyāñ chham-chhamā-chham chhamam

    jaise vā'da kisī bevafā balam

    jaise sapnā kisī be-navā balam

    kar na zaa.e' muī chūḌiyoñ pe raqam

    mohe pāzeb chāñdī de balam

    jo na TuuTe kabhī jo na ho be-sadā

    jaisī ulfat tirī jaisī merī vafā

    thayyā thayyā thirakte raheñ ye qadam

    yaad aatī rahe bas tumhārī balam

    duur jāoge gar mujh se ho ke ḳhafā

    to ye pāzeb degī chhamā-chham sadā

    lauT aaoge ulTe qadam tum balam

    chham-chhamā-chham chhamam chham-chhamā-chham chham

    chham-chhama-chham chhamam chham-chhama-chham chhamam

    kanch ki chuDiyan chham-chhama-chham chhamam

    Tut jaengi kuchh hi dinon mein balam

    kanch ki chuDiyan chham-chhama-chham chhamam

    jaise wa'da kisi bewafa ka balam

    jaise sapna kisi be-nawa ka balam

    kar na zae' mui chuDiyon pe raqam

    mohe pazeb chandi ki la de balam

    jo na TuTe kabhi jo na ho be-sada

    jaisi ulfat teri jaisi meri wafa

    thayya thayya thirakte rahen ye qadam

    yaad aati rahe bas tumhaari balam

    dur jaoge gar mujh se ho ke KHafa

    to ye pazeb degi chhama-chham sada

    lauT aaoge ulTe qadam tum balam

    chham-chhama-chham chhamam chham-chhama-chham chham

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Ghulam Abbas Khan

    Ghulam Abbas Khan

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now