chhatri dal ka ek sipahi
bhārī jismoñ ko ugaltā ik jahāz
geñd ke mānind paas aatī zamīñ
ek ke baa'd ek khultī chhatriyāñ
ik pahāḌī se utartī bakriyāñ
tez zahrīlī havā chaltī huī
ek bastī aag meñ jaltī huī
sochtā huuñ lauT hī jā.ūñ magar
gar rihā huuñ lauT ke jā.ūñ kidhar
bhaari jismon ko ugalta ek jahaz
gend ke manind pas aati zamin
ek ke ba'd ek khulti chhatriyan
ek pahaDi se utarti bakriyan
tez zahrili hawa chalti hui
ek basti aag mein jalti hui
sochta hun lauT hi jaun magar
gar riha hun lauT ke jaun kidhar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.