chhipkali
bhūrī bhūrī piilī ye
zarā nahīñ zahrīlī ye
dekho kyā sharmīlī sī
sust nahīñ na Dhīlī sī
kaam baḌā kar jaa.e ye
kiiḌe makoḌe khaa.e ye
kartī koī nuqsān nahīñ
muuzī ye mehmān nahīñ
dum ko kaaT le ḳhatre meñ
nikal aa.e jo hafte meñ
kitnī ye ḳhāmosh rahe
phir bhī ye bā-hosh rahe
raat nazar aatī hai ye
din ko chhup jaatī hai ye
chhat se girne paa.e nahīñ
itne paas ye aa.e nahīñ
chehra is kā baḌā tikon
ġhaur se is ko dekhe kaun
khaa.e nikāle tez zabāñ
kirm patañge raheñ kahāñ
sun batlā.e kyā 'yāsir'
ye phir dost huī nā phir
bhuri bhuri pili ye
zara nahin zahrili ye
dekho kya sharmili si
sust nahin na Dhili si
kaam baDa kar jae ye
kiDe makoDe khae ye
karti koi nuqsan nahin
muzi ye mehman nahin
dum ko kaT le KHatre mein
nikal aae jo hafte mein
kitni ye KHamosh rahe
phir bhi ye ba-hosh rahe
raat nazar aati hai ye
din ko chhup jati hai ye
chhat se girne pae nahin
itne pas ye aae nahin
chehra is ka baDa tikon
ghaur se is ko dekhe kaun
khae nikale tez zaban
kirm patange rahen kahan
sun batlae kya 'yasir'
ye phir dost hui na phir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.