Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chhoTi chhoTi baDaiyan

Farhat Qamar

chhoTi chhoTi baDaiyan

Farhat Qamar

MORE BYFarhat Qamar

    qatre qatre se ban gayā dariyā zarre zarre se ho gayā sahrā

    abr-e-naisāñ banā hai būñdoñ se zindagī majmūa hai lamhoñ

    ban ga.ī hai kalī kalī bahār

    koī chhoTī shai nahīñ be-kār

    ik zarā khul ke muskurā denā ik zarā sar kahīñ jhukā denā

    ho chuke haiñ jo lāġhar-o-majbūr bojh un zarā uThā denā

    bhaTke raahī ko raah batlānā aas māyūsgāñ ban jaanā

    jab musībat saroñ pe mañDlā.e dost ham-sā.igāñ ban jaanā

    bāteñ chhoTī haiñ phir bhī chhoTī nahīñ

    in bātoñ se zindagī hai hasīñ

    qatre qatre se ban gaya dariya zarre zarre se ho gaya sahra

    abr-e-naisan bana hai bundon se zindagi majmua hai lamhon ka

    ban gai hai kali kali hi bahaar

    koi chhoTi si shai nahin be-kar

    ek zara khul ke muskura dena ek zara sar kahin jhuka dena

    ho chuke hain jo laghar-o-majbur bojh un ka zara uTha dena

    bhaTke rahi ko rah batlana aas mayusgan ki ban jaana

    jab musibat saron pe manDlae dost ham-saigan ka ban jaana

    baaten chhoTi hain phir bhi chhoTi nahin

    in hi baaton se zindagi hai hasin

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now