Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chhoTi si shopping

Nida Fazli

chhoTi si shopping

Nida Fazli

MORE BYNida Fazli

    goTe vaalī

    laal oḌhnī

    us par

    cholī-ghagrā

    usī se matching karne vaalā

    chhoTā ik nāgrā

    chhoTī sii!

    ye shopping thī

    yaa!

    koī jādū-Tonā

    lambā chauḌā shahr achānak

    ban kar

    ek khilaunā

    itihāsoñ jaal toḌ ke

    dāḌhī

    pagḌī

    uuñT chhoḌ ke

    ''alif'' se

    ammāñ

    ''be'' se

    baabā

    baiThā baaj rahā thā

    pāñch saal bachchī

    ban kar jaipur

    naach rahā thā

    goTe wali

    lal oDhni

    us par

    choli-ghagra

    usi se matching karne wala

    chhoTa sa ek nagra

    chhoTi si!

    ye shopping thi

    ya!

    koi jadu-Tona

    lamba chauDa shahr achanak

    ban kar

    ek khilauna

    itihason ka jal toD ke

    daDhi

    pagDi

    unT chhoD ke

    alif se

    amman

    be se

    baba

    baiTha baj raha tha

    panch sal ki bachchi

    ban kar jaipur

    nach raha tha

    Source:

    Shaher Men Gaon (Pg. 508)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now