aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chhuTTi ka zamana

Mohammad Asadullah

chhuTTi ka zamana

Mohammad Asadullah

MORE BYMohammad Asadullah

    schōl band haiñ sab ab sair ko hai jaanā

    likhnā hai ab na paḌhnā bas chhuTTiyāñ manānā

    basta kitāb copy sab chhuTTiyāñ manā.eñ

    bār-e-girāñ se in ke ham bhī najāt paa.eñ

    baste meñ jo bañdhā hai us ko jahāñ meñ dekheñ

    kyā kyā kahāñ chhupā hai aao pata lagā.eñ

    sunte haiñ kuchh ajab hai duniyā kār-ḳhāna

    likhnā hai ab na paḌhnā bas chhuTTiyāñ manānā

    aao suneñ kahānī koī na.ī purānī

    naanī sunā.eñ phir daadī ho zabānī

    ik rākshas bhī aa.e ho ḳhuub khīñchā-tānī

    aisī laḌā.ī ho ki aa jaa.e yaad naanī

    phir ḳhātma meñ aa kar dushman haar jaanā

    likhnā hai ab na paḌhnā bas chhuTTiyāñ manānā

    bas khelne ḳhātir ye chhuTTiyāñ milī haiñ

    har-sū khilāḌiyoñ kuchh Toliyāñ banī haiñ

    lahrā rahe haiñ balle geñdeñ uchhal rahī haiñ

    fōtbāl bhī Teameñ maidāñ meñ aa ga.ī haiñ

    tagḌā muqābla hai kuchh kar ke hai dikhānā

    likhnā hai ab na paḌhnā bas chhuTTiyāñ manānā

    har samt har Dagar par chhuTTī raaj qaa.em

    ā.ankhoñ meñ jhilmilāte haiñ sair ke azā.em

    chāhtā hai sadiyoñ zinda raheñ yahāñ ham

    qaa.em rahe ye chhuTTī daa.im rahe ye mausam

    bas soch to hai ye mumkin nahīñ ye maanā

    likhnā hai ab na paḌhnā bas chhuTTiyāñ manānā

    school band hain sab ab sair ko hai jaana

    likhna hai ab na paDhna bas chhuTTiyan manana

    basta kitab copy sab chhuTTiyan manaen

    bar-e-giran se in ke hum bhi najat paen

    baste mein jo bandha hai us ko jahan mein dekhen

    kya kya kahan chhupa hai aao pata lagaen

    sunte hain kuchh ajab hai duniya ka kar-KHana

    likhna hai ab na paDhna bas chhuTTiyan manana

    aao sunen kahani koi nai purani

    nani sunaen ya phir dadi ki ho zabani

    ek rakshas bhi aae ho KHub khincha-tani

    aisi laDai ho ki aa jae yaad nani

    phir KHatma mein aa kar dushman ka haar jaana

    likhna hai ab na paDhna bas chhuTTiyan manana

    bas khelne ki KHatir ye chhuTTiyan mili hain

    har-su khilaDiyon ki kuchh Toliyan bani hain

    lahra rahe hain balle genden uchhal rahi hain

    footbaal ki bhi Teamen maidan mein aa gai hain

    tagDa muqabla hai kuchh kar ke hai dikhana

    likhna hai ab na paDhna bas chhuTTiyan manana

    har samt har Dagar par chhuTTi ka raj qaem

    aaankhon mein jhilmilate hain sair ke azaem

    ji chahta hai sadiyon zinda rahen yahan hum

    qaem rahe ye chhuTTi daim rahe ye mausam

    bas soch hi to hai ye mumkin nahin ye mana

    likhna hai ab na paDhna bas chhuTTiyan manana

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now