chiKH
jab shām-e-charāġhāñ
guzar jaatī hai
to adheḌ-‘umr 'aurateñ
aur un ke gosht-ḳhor mard
ġhalīz lihāfoñ kī
qabroñ meñ utar jaate haiñ
azal se abad ko milāte hue
bad-rang kīḌoñ kī
nazr ho jaate haiñ
paḌos meñ ek harāmī pillā
qabroñ kā tavāf kartā hai
āsmāñ kī giraft se āzād
ūbaḌ-khābaḌ zamīnoñ par
bhaTaktā huā
har shab apnī chīḳh ke dhamāke se
tīrgī kī kokh meñ
ek anmiT shigāf
bo detā hai
jab sham-e-charaghan
guzar jati hai
to adheD-‘umr 'auraten
aur un ke gosht-KHor mard
ghaliz lihafon ki
qabron mein utar jate hain
azal se abad ko milate hue
bad-rang kiDon ki
nazr ho jate hain
paDos mein ek harami pilla
qabron ka tawaf karta hai
aasman ki giraft se aazad
ubaD-khabaD zaminon par
bhaTakta hua
har shab apni chiKH ke dhamake se
tirgi ki kokh mein
ek anmiT shigaf
bo deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.