Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pan chakki

Ismail Merathi

pan chakki

Ismail Merathi

MORE BYIsmail Merathi

    nahr par chal rahī hai pan-chakkī

    dhun puurī hai kaam pakkī

    baiThtī nahīñ kabhī thak kar

    tere pahiye ko hai sadā chakkar

    pīsne meñ lagī nahīñ kuchh der

    ne jhaT-paT lagā diyā ik Dher

    log le jā.eñge sameT sameT

    terā aaTā bharegā kitne peT

    bhar ke laate haiñ gāḌiyoñ meñ anaaj

    shahr ke shahr haiñ tire muhtāj

    baḌe kaam hai ai chakkī!

    kaam ko kar rahī hai tai chakkī

    ḳhatm terā safar nahīñ hotā

    nahīñ hotā magar nahīñ hotā

    paanī har vaqt bahtā hai dhal-dhal

    jo ghumātā hai aa ke terī kal

    kyā tujhe chain nahīñ aatā

    kaam jab tak nibaḌ nahīñ jaatā

    meñh barastā ho chale āñdhī

    ne chalne shart hai bāñdhī

    baḌe kaam hai ai chakkī!

    mujh ko bhātī hai terī lai chakkī!

    ilm sīkho sabaq paḌho bachcho

    aur aage chalo baḌho bachcho

    khelne kūdne mat lo naam

    kaam jab tak ki ho na jaa.e tamām

    jab nibaḌ jaa.e kaam tab hai maza

    khelne khāne aur sone

    dil se mehnat karo ḳhushī ke saath

    na ki uktā ke ḳhāmushī ke saath

    dekh lo chal rahī hai pan-chakkī

    dhun puurī hai kaam pakkī

    nahr par chal rahi hai pan-chakki

    dhun ki puri hai kaam ki pakki

    baiThti tu nahin kabhi thak kar

    tere pahiye ko hai sada chakkar

    pisne mein lagi nahin kuchh der

    tu ne jhaT-paT laga diya ek Dher

    log le jaenge sameT sameT

    tera aaTa bharega kitne peT

    bhar ke late hain gaDiyon mein anaj

    shahr ke shahr hain tere muhtaj

    tu baDe kaam ki hai ai chakki!

    kaam ko kar rahi hai tai chakki

    KHatm tera safar nahin hota

    nahin hota magar nahin hota

    pani har waqt bahta hai dhal-dhal

    jo ghumata hai aa ke teri kal

    kya tujhe chain hi nahin aata

    kaam jab tak nibaD nahin jata

    meinh barasta ho ya chale aandhi

    tu ne chalne ki shart hai bandhi

    tu baDe kaam ki hai ai chakki!

    mujh ko bhati hai teri lai chakki!

    ilm sikho sabaq paDho bachcho

    aur aage chalo baDho bachcho

    khelne kudne ka mat lo nam

    kaam jab tak ki ho na jae tamam

    jab nibaD jae kaam tab hai maza

    khelne khane aur sone ka

    dil se mehnat karo KHushi ke sath

    na ki ukta ke KHamushi ke sath

    dekh lo chal rahi hai pan-chakki

    dhun ki puri hai kaam ki pakki

    Source:

    Bchchaun ke ismail meruthi (Pg. 120)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now