Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chor-bazar

Aziz Qaisi

chor-bazar

Aziz Qaisi

MORE BYAziz Qaisi

    kaaTh ke bail mard, shīshe

    putliyāñ aurteñ, pasīne

    būñdiyāñ, gul mahak shamīm-e-badan

    chāk-e-dil zaḳhm-e-jeb-o-pairāhan

    car, lārī, kivāḌ āñkheñ, fan,

    la.al-o-almās āhan-o-faulād

    qahqahe, chahchahe, fuġhāñ, fariyād

    soii, hāthī, anāth, bachche, dil

    tishnagī, talḳhiyāñ, tajallī, diid

    kaun aas, kaun ummīd

    kaun jins chāhiye tujh ko

    har zarūrat maal hāzir hai

    maal ye sab kahāñ se aatā hai

    bechtā kaun, kaun laatā hai

    kis se kis ne ise ḳharīdā hai

    kitne dāmoñ ye uThtā jaatā hai

    bamba.ī ariiz saḌkoñ par

    jab koī taaza jins duniyā

    koī nikhrā hasīn-ruḳh, maiñ ne

    koī lahkī huī jabīñ dekhī

    yahī dil meñ ḳhayāl aayā hai

    tajarba-kār koī saudāgar

    koī dallāl koī sāriq

    sar-e-bāzār us ko laayā hai

    jaane kis roz biich Dālegā

    vo bhī aise ki us ke dāmoñ

    dūsre haath ko pata na chale

    jaane kis roz kitne darvāze

    chhū ke ye jins-e-be-bahā āḳhir

    kisī fōtpath ke kināre par

    ''lāT lāT'' ban ke uTh jaa.e

    zindagī hai ki maal sariqe

    chor-bāzār hai ki duniyā hai!

    kaTh ke bail mard, shishe ki

    putliyan aurten, pasine ki

    bundiyan, gul mahak shamim-e-badan

    chaak-e-dil zaKHm-e-jeb-o-pairahan

    car, lari, kiwaD aankhen, fan,

    lal-o-almas aahan-o-faulad

    qahqahe, chahchahe, fughan, fariyaad

    soi, hathi, anath, bachche, dil

    tishnagi, talKHiyan, tajalli, did

    kaun si aas, kaun si ummid

    kaun si jins chahiye tujh ko

    har zarurat ka mal hazir hai

    mal ye sab kahan se aata hai

    bechta kaun, kaun lata hai

    kis se kis ne ise KHarida hai

    kitne damon ye uThta jata hai

    bambai ki ariz saDkon par

    jab koi taza jins duniya ki

    koi nikhra hasin-ruKH, main ne

    koi lahki hui jabin dekhi

    yahi dil mein KHayal aaya hai

    tajarba-kar koi saudagar

    koi dallal ya koi sariq

    sar-e-bazar us ko laya hai

    jaane kis roz bich Dalega

    wo bhi aise ki us ke damon ka

    dusre hath ko pata na chale

    jaane kis roz kitne darwaze

    chhu ke ye jins-e-be-baha aaKHir

    kisi footpath ke kinare par

    laT ki laT ban ke uTh jae

    zindagi hai ki mal sariqe ka

    chor-bazar hai ki duniya hai!

    Source:

    aaina dar aaina (Pg. 90)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now