Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chunaw

MORE BYSubodh Lal Saqi

    chaar baras ke

    maile kuchle

    duble-patle laḌke meñ thī

    ġhazab phurtī

    chaurāhe par ek taraf harī light se

    dūsrī samt laal light tak

    bijlī tezī se vo aatā jaatā thā

    jo mil jaa.e us ke aage

    phailātā thā apnī hathelī

    jis meñ

    ḳhush-hālī aur lambe jīvan

    rekhā.eñ thiiñ

    chaurāhe tak mahdūd thī us duniyā

    jis ko us ne nahīñ chunā thā

    traffic light ke ird-gard thā us jīvan

    vo bhī us ne nahīñ chunā thā

    TuuTe pul ke nīche us janam huā thā

    vo bhī us ne nahīñ chunā thā

    kal shab

    traffic light ko toḌne vaale Truck se dab kar

    maut ho ga.ī us

    vo bhī us ne nahīñ chunī thī

    chaar baras ke

    maile kuchle

    duble-patle laDke mein thi

    ghazab ki phurti

    chaurahe par ek taraf ki hari light se

    dusri samt ki lal light tak

    bijli ki tezi se wo aata jata tha

    jo mil jae us ke aage

    phailata tha apni hatheli

    jis mein

    KHush-haali aur lambe jiwan ki

    rekhaen thin

    chaurahe tak hi mahdud thi us ki duniya

    jis ko us ne nahin chuna tha

    traffic light ke ird-gard tha us ka jiwan

    wo bhi us ne nahin chuna tha

    TuTe pul ke niche us ka janam hua tha

    wo bhi us ne nahin chuna tha

    kal shab

    traffic light ko toDne wale Truck se dab kar

    maut ho gai us ki

    wo bhi us ne nahin chuni thi

    Source:

    Namak (Pg. 109)

    • Author: Subodh Saaqi
      • Edition: 2016
      • Publisher: Arshia Publications
      • Year of Publication: 2016
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now