Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chumta pani, pani pani

Iftikhar Jalib

chumta pani, pani pani

Iftikhar Jalib

MORE BYIftikhar Jalib

    phaTte irāde yaqīn musībat paañv dhulā.e

    chashma ki hoñT shabīh-e-luāb mayassar raat anokhā sāneha ho jā.egā

    maile kañval ke phuul Dubotā lipaT lipaT kar chūmtā pānī, paanī paanī

    nadāmat se maġhlūb ḳharābī: madd-o-jazr maujūd tabī.at taḳhrīb tamāsha

    murāja.at āñkhoñ se ojhal chhūtī bahātī be-tartīb azaab hai

    harī-bharī bechārgī kaise? aks-e-shabāhat pankhuḌiyoñ

    vo jo irāde tarkīb nahīñ saktā laraz rahā hai

    phuul tashaddud ḳhauf meñ ġharq-e-harārat Dūbtī ubhartī patiyāñ

    keñchulī utre to baat bane maiñ kah duuñ? kar guzrūñ?

    a.asāb tashannuj phailtī be-ruḳh bātoñ tardīd-e-qayāmat kar bhī chuko

    ye hādsa dā.era ye simaTtā phailtā sarpaT bhāgte qadmoñ par jal-bhun raakh ho

    sho.ala thiraktā riiḌh haDDī se maġhz ke hukm-e-salāsil chāTtā

    din paane laġhzish kar le kar le majbūrī aa letī hai

    chau-gard gardish raakh qarīne yakjā.ī tamsīl-e-ba-zāhir tā.īd meñ rakhtī hai

    uñgliyāñ uñgliyāñ, bāteñ bāteñ, pasīna pasīna baaqī baaqī

    aur bechārgī

    tāham to ye tayaqqun tark-e-taġhāful Thahre

    qaul qayāmat aane ke jatan kare taqrīb-e-tamāsha DhūñDe

    chhupī rahe, taḌpā.e, taḌpe

    phaTte irade yaqin musibat panw dhulae

    chashma ki honT shabih-e-luab mayassar raat anokha saneha ho jaega

    maile kanwal ke phul Dubota lipaT lipaT kar chumta pani, pani pani

    nadamat se maghlub KHarabi: madd-o-jazr maujud tabiat ka taKHrib tamasha

    murajat aankhon se ojhal chhuti bahati be-tartib azab hai

    hari-bhari bechaargi kaise? aks-e-shabahat pankhuDiyon ka

    wo jo irade ki tarkib nahin pa sakta laraz raha hai

    phul tashaddud KHauf mein gharq-e-hararat Dubti ubharti patiyan

    kenchuli utre to baat bane main kah dun? kar guzrun?

    aasab tashannuj phailti be-ruKH baaton ki tardid-e-qayamat kar bhi chuko

    ye hadsa daera sa ye simaTta phailta sarpaT bhagte qadmon ki lu par jal-bhun rakh ho

    shoala thirakta riDh ki haDDi se maghz ke hukm-e-salasil chaTta

    din pane ki laghzish kar le kar hi le majburi aa leti hai

    chau-gard ki gardish rakh qarine ki yakjai tamsil-e-ba-zahir ki taid mein rakhti hai

    ungliyan ungliyan, baaten baaten, pasina pasina baqi baqi

    aur bechaargi

    taham to ye tayaqqun tark-e-taghaful Thahre

    qaul qayamat aane ke jatan kare taqrib-e-tamasha DhunDe

    chhupi rahe, taDpae, taDpe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now