Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

cigarette

Prem Warbartani

cigarette

Prem Warbartani

MORE BYPrem Warbartani

    jis tarah hasratoñ ke marghaT meñ

    dhīre dhīre sulag rahā ho dhuāñ

    jis tarah ho kisī sitāre par

    ek bujhte hue diye gumāñ

    jis tarah miT rahī ho ban ban kar

    yās-angez vaqt tahrīr

    is tarah tere surḳh hoñToñ par

    kāñptī hai ghane dhueñ lakīr

    khelte haiñ fazā sāñsoñ se

    nanhe nanhe tilismī mar gole

    halke niile dhueñ lahroñ se

    Dhulne lagtī hai gard rañj-o-mehan

    tere har ek kash talḳhī meñ

    Duub jaatī hai zindagī thakan

    hashr-sāmāniyāñ tafakkur

    jab bhī letī haiñ dil meñ añgḌā.ī

    tujh ko rah rah ke yaad kartī hai

    shām-e-ġham udaas tanhā.ī

    ye to sab kuchh durust hai lekin

    aaj raat maiñ akelā huuñ

    band kamra hai aur ḳhāmoshī

    hādse kar rahe haiñ merī talāsh

    zehan ko Das rahī hai fikr-e-ma.āsh

    kyā karūñ kyā karūñ kidhar jā.ūñ

    tujh se kis tarah dil ko bahlā.ūñ

    sochtā huuñ ki ġharq ho jā.ūñ

    tere kaḌve dhueñ ḳhushbū meñ

    lekin aisā bhī ho nahīñ saktā

    tere kaḌve dhueñ ḳhushbū meñ

    ġham ehsās kho nahīñ saktā

    mire ġham ko kyā miTā.egā

    bhī merī tarah hai shoa.la-fishāñ

    mere siine meñ jal rahī hai aag

    tere siine se uTh rahā hai dhuāñ

    mere dil meñ bhī soz paltā hai

    maiñ bhī jaltā huuñ bhī jaltā hai

    jis tarah hasraton ke marghaT mein

    dhire dhire sulag raha ho dhuan

    jis tarah ho kisi sitare par

    ek bujhte hue diye ka guman

    jis tarah miT rahi ho ban ban kar

    yas-angez waqt ki tahrir

    is tarah tere surKH honTon par

    kanpti hai ghane dhuen ki lakir

    khelte hain faza ki sanson se

    nanhe nanhe tilismi mar gole

    halke nile dhuen ki lahron se

    Dhulne lagti hai gard ranj-o-mehan

    tere har ek kash ki talKHi mein

    Dub jati hai zindagi ki thakan

    hashr-samaniyan tafakkur ki

    jab bhi leti hain dil mein angDai

    tujh ko rah rah ke yaad karti hai

    sham-e-gham ki udas tanhai

    ye to sab kuchh durust hai lekin

    aaj ki raat main akela hun

    band kamra hai aur KHamoshi

    hadse kar rahe hain meri talash

    zehan ko Das rahi hai fikr-e-maash

    kya karun kya karun kidhar jaun

    tujh se kis tarah dil ko bahlaun

    sochta hun ki gharq ho jaun

    tere kaDwe dhuen ki KHushbu mein

    lekin aisa bhi ho nahin sakta

    tere kaDwe dhuen ki KHushbu mein

    gham ka ehsas kho nahin sakta

    tu mere gham ko kya miTaega

    tu bhi meri tarah hai shoala-fishan

    mere sine mein jal rahi hai aag

    tere sine se uTh raha hai dhuan

    mere dil mein bhi soz palta hai

    main bhi jalta hun tu bhi jalta hai

    Source:

    Khushbu Ka Khwab (Pg. 25)

    • Author: Prem Warbartani
      • Edition: 1976
      • Publisher: Miss V. D. Kakkad
      • Year of Publication: 1976
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now