Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

clerk

MORE BYSyed Mohammad Jafri

    ḳhāliq ne jab azal maiñ banāyā clerk ko

    lauh o qalam jalva dikhāyā clerk ko

    kursī pe phir uThāyā biThāyā clerk ko

    afsar ke saath pin se lagāyā clerk ko

    miTī gad.he Daal kar us sarisht meñ

    dāḳhil mashaqqatoñ ko kiyā sarnavisht meñ

    chaprāsī saath ḳhuld meñ jab le gayā use

    hūroñ ne kuchh mazāq kiye kuchh malak hañse

    hātif daf.atan ye sadā aa.ī ġhaib se

    ''dekho ise jo dīda-e-ibrat-nigāh hai''

    aadam rough-draft hai kab tak hañsoge tum

    approve ho kar aayā to sajda karoge tum

    jannat meñ fileñ haiñ na hai koī Diary

    hūreñ to jāntī haiñ faqat tarz-e-dilbarī

    ġhilmāñ se kuchh kaho to sunā.e kharī kharī

    ye intizām hai ye discipline hai daftarī

    maiñ sochtā huuñ kyā karūñ aisī bahisht ko

    ''TeḌhā lagā hai qat qalam-e-sarnavisht ko''

    ḳhuld-e-barīñ ko naaz thā apne makīn par

    aur ye bhī the miTe hue ik hūr-e-īn par

    lālach mohr kanda thī dil ke nagīn par

    T-A vasūl karne ko utrā zamīn par

    iblīs rāste meñ milā kuchh sikhā diyā

    utrā falak se third meñ inter likhā diyā

    rakkhā qadam clerk ne jis dam zamīn par

    dekhā har ek chiiz hai qudrat ke diin par

    bolā ki maiñ to zinda rahūñgā routine par

    mujh par machine hogī maiñ hūñgā machine par

    is āhanī sanam ibādat hai mujh pe farz

    naukar huuñ bādshāh jiitā huuñ le ke qarz

    ai secretariat imārat zarā batā

    us vaqt jabki jaate haiñ afsar bhī baukhlā

    hotā hai kaun kashtī-e-file nāḳhudā

    afsar nahīñ haiñ is haqīqat se āshnā

    par ham ye jānte haiñ ki insān haiñ clerk

    dariyā-e-red-tape tūfān haiñ clerk

    KHaliq ne jab azal main banaya clerk ko

    lauh o qalam ka jalwa dikhaya clerk ko

    kursi pe phir uThaya biThaya clerk ko

    afsar ke sath pin se lagaya clerk ko

    miTi gadhe ki Dal kar us ki sarisht mein

    daKHil mashaqqaton ko kiya sarnawisht mein

    chaprasi sath KHuld mein jab le gaya use

    huron ne kuchh mazaq kiye kuchh malak hanse

    hatif ki dafatan ye sada aai ghaib se

    dekho ise jo dida-e-ibrat-nigah hai

    aadam ka rough-draft hai kab tak hansoge tum

    approwe ho kar aaya to sajda karoge tum

    jannat mein filen hain na hai koi Diary

    huren to jaanti hain faqat tarz-e-dilbari

    ghilman se kuchh kaho to sunae khari khari

    ye intizam hai ye discipline hai daftari

    main sochta hun kya karun aisi bahisht ko

    TeDha laga hai qat qalam-e-sarnawisht ko

    KHuld-e-barin ko naz tha apne makin par

    aur ye bhi the miTe hue ek hur-e-in par

    lalach ki mohr kanda thi dil ke nagin par

    T-A wasul karne ko utra zamin par

    iblis raste mein mila kuchh sikha diya

    utra falak se third mein inter likha diya

    rakkha qadam clerk ne jis dam zamin par

    dekha har ek chiz hai qudrat ke din par

    bola ki main to zinda rahunga routine par

    mujh par machine hogi main hunga machine par

    is aahani sanam ki ibaadat hai mujh pe farz

    naukar hun baadshah ka jita hun le ke qarz

    ai secretariat ki imarat zara bata

    us waqt jabki jate hain afsar bhi baukhla

    hota hai kaun kashti-e-file ka naKHuda

    afsar nahin hain is ki haqiqat se aashna

    par hum ye jaante hain ki insan hain clerk

    dariya-e-red-tape ka tufan hain clerk

    Source:

    Shokhi-e-Tahrir (Pg. 38)

    • Author: Sayed Mohammad Jafri
      • Edition: 1985
      • Publisher: Malik Norani, Maktaba Daniyal Viktoria Chaimber, 20, Abdullah Haroon Road, Sadar Krachi
      • Year of Publication: 1985
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now