Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

coffee cup reading

Swappnil Tiwari

coffee cup reading

Swappnil Tiwari

MORE BYSwappnil Tiwari

    use message to bhejā hai

    ki coffē par milo mujh se

    vo aa jā.egī to achchhā

    maiñ pahle sirf do coffē mañgāūñgā

    maiñ cappucino piitā huuñ

    vo kaisī coffē piitī hai

    is andāza to us ke aane par hogā

    hamāre paas to bāteñ bhī kam haiñ

    so coffē jald p leñge

    jo us ke cup meñ thoḌā jhaag coffē bachā hogā

    maiñ us shape ko paḌh kar use future batā.uñgā

    batā.ūñgā use maiñ

    kaise vo mujh jaise ik laḌke duniyā ko badal degī

    use ma.alūm hogā kyā ki coffē cup reading tarīqa ye nahīñ hotā?

    maiñ cafe aa chukā huuñ

    vo bhī raste meñ kahīñ hogī

    bahut se log cafe aa ke paḌhte likhte rahte haiñ

    mohammad 'alvī nazmeñ to maiñ bhī saath laayā huuñ

    ye hogā to nahīñ phir bhī vo aa.ī nahīñ to phir

    inhīñ logoñ ke jaise maiñ bhī paḌh kar vaqt kāTūñgā

    use aane meñ derī ho rahī hai

    maiñ ik coffē to tanhā p chukā huuñ

    zarā jhaag cup meñ hai jise dekho to lagtā hai

    ki ik laḌkā akelā baiTh kar kuchh paḌh rahā hai

    tasallī de rahā huuñ ab maiñ ḳhud ko

    ye merī shaam future nahīñ hai

    ki coffē cup reading tarīqa ye nahīñ hotā

    use message to bheja hai

    ki coffee par milo mujh se

    wo aa jaegi to achchha

    main pahle sirf do coffee mangaunga

    main cappucino pita hun

    wo kaisi coffee piti hai

    is ka andaza to us ke aane par hoga

    hamare pas to baaten bhi kam hain

    so coffee jald p lenge

    jo us ke cup mein thoDa jhag coffee ka bacha hoga

    main us ki shape ko paDh kar use future bataunga

    bataunga use main

    kaise wo mujh jaise ek laDke ki duniya ko badal degi

    use malum hoga kya ki coffee cup ki reading ka tariqa ye nahin hota?

    main cafe aa chuka hun

    wo bhi raste mein kahin hogi

    bahut se log cafe aa ke paDhte likhte rahte hain

    mohammad 'alwi ki nazmen to main bhi sath laya hun

    ye hoga to nahin phir bhi wo aai hi nahin to phir

    inhin logon ke jaise main bhi paDh kar waqt kaTunga

    use aane mein deri ho rahi hai

    main ek coffee to tanha p chuka hun

    zara sa jhag cup mein hai jise dekho to lagta hai

    ki ek laDka akela baiTh kar kuchh paDh raha hai

    tasalli de raha hun ab main KHud ko

    ye meri sham ka future nahin hai

    ki coffee cup ki reading ka tariqa ye nahin hota

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now