Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Coke

Uzma Naqvi

Coke

Uzma Naqvi

MORE BYUzma Naqvi

    maqsad aañkh nuur

    āḳhir hamārī niyyatoñ meñ chamaktā hai

    munjamid hone ke Dar se

    mujhe aane vaale mehmānoñ intizār ziyāda karnā hogā

    merī halāvat merī ragoñ meñ machal rahī hai

    ek miThās bharī ghulāvaT

    jo halaq par lazzat dastak detī hai

    maiñ fridge meñ paḌī

    apnī karvaToñ meñ itrā rahī huuñ

    jis ke nuqūsh bilorīñ botal par raqs karte haiñ

    aane vāloñ intizār lambā ho rahā hai

    merī ragoñ meñ burūdat jam rahī hai

    ḳhālī hone shauq baḌā zālim hotā hai

    magar ye kyā

    ye āvāz kaisī

    aaj mehmān nahīñ aa rahe

    kyā merī murād aur merā sher baaqī rahegā

    maqsad ki aankh ka nur

    aaKHir hamari niyyaton mein hi chamakta hai

    munjamid hone ke Dar se

    mujhe aane wale mehmanon ka intizar ziyaada karna hoga

    meri halawat meri ragon mein machal rahi hai

    ek miThas bhari ghulawaT

    jo halaq par lazzat ki dastak deti hai

    main fridge mein paDi

    apni karwaTon mein itra rahi hun

    jis ke nuqush bilorin botal par raqs karte hain

    aane walon ka intizar lamba ho raha hai

    meri ragon mein burudat jam rahi hai

    KHali hone ka shauq baDa zalim hota hai

    magar ye kya

    ye aawaz kaisi

    aaj mehman nahin aa rahe

    kya meri murad aur mera sher baqi rahega

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now