Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dadi amman

MORE BYSayyad Safdar Raza Khandvi

    daadī ammāñ hameñ sunāo ab ik na.ī kahānī

    jis meñ zālim raaja na ho na zālim raanī

    jis meñ bhuut pret dev aur jinnātoñ baat na ho

    jis meñ shahzādī ḳhātir shahzāde maat na ho

    jis meñ koī lobhī luTerā saat samundar se na aa.e

    jis meñ sone chiḌiyā ke pañkhoñ ko nochā na jaa.e

    aaj ke yug meñ in qissoñ baat huī purānī

    daadī ammāñ hameñ sunāo ab ik na.ī kahānī

    na.ī kahānī jis meñ dahqāñ jhuum rahe hoñ khetoñ meñ

    na.ī kahānī jis meñ koyal magan ho sukh ke gītoñ meñ

    na.ī kahānī jis meñ dhartī ugal rahī ho sonā

    amn-o-mohabbat ke gītoñ se guuñj rahā ho har konā

    na.ī kahānī jis meñ ham chandā maamā tak jaa.eñ

    aur chandā-nagrī se jhūlā jhuul ke vāpas aa.eñ

    na.ī kahānī kitnī sundar kitnī bhalī suhānī

    daadī ammāñ hameñ sunāo ab ik na.ī kahānī

    dadi amman hamein sunao ab ek nai kahani

    jis mein zalim raja na ho na hi zalim rani

    jis mein bhut pret dew aur jinnaton ki baat na ho

    jis mein shahzadi ki KHatir shahzade ki mat na ho

    jis mein koi lobhi luTera sat samundar se na aae

    jis mein sone ki chiDiya ke pankhon ko nocha na jae

    aaj ke yug mein in qisson ki baat hui purani

    dadi amman hamein sunao ab ek nai kahani

    nai kahani jis mein dahqan jhum rahe hon kheton mein

    nai kahani jis mein koyal magan ho sukh ke giton mein

    nai kahani jis mein dharti ugal rahi ho sona

    amn-o-mohabbat ke giton se gunj raha ho har kona

    nai kahani jis mein hum chanda mama tak jaen

    aur chanda-nagri se jhula jhul ke wapas aaen

    nai kahani kitni sundar kitni bhali suhani

    dadi amman hamein sunao ab ek nai kahani

    Source:

    Kala Aam (Pg. 36)

    • Author: Sayyad Safdar Raza Khandvi
      • Publisher: Tilism-e-Harf Publications, Khandva
      • Year of Publication: 1997

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now