dadi-amman ki theory
dādī-ammāñ kahtī haiñ
saarī duniyā gaa.e ke siiñg par Tikī hai
jab ye gaa.e duniyā ko
ek siiñg par uThā.e uThā.e
thak jaatī hai
to use dūsre siiñg par rakh letī hai
idhar se udhar hone par
gaa.e ke ek siiñg se dūsre siiñg tak aate aate
zarā uupar ko duniyā
hil kar rah jaatī hai
dādī-ammāñ kī theory ke mutābiq
karāchī bhī isī duniyā meñ
sīñgoñ par kahīñ vaaqe hai
pichhle kuchh dinoñ se
ye gaa.e kuchh thakī thakī rahne lagī hai
aur duniyā ko jaldī jaldī
sīñgoñ par idhar udhar kartī rahtī hai
lekin ye baat samajh meñ nahīñ aatī
aur dādī-ammāñ kī tarah
hameñ bhī pareshān kartī hai
ki ab
jab gaa.e duniyā ko ek siiñg se badal kar
dūsre siiñg par letī hai
to hamārā karāchī hī
sab se ziyāda kyuuñ hiltā hai
dadi-amman kahti hain
sari duniya gae ke sing par Tiki hai
jab ye gae duniya ko
ek sing par uThae uThae
thak jati hai
to use dusre sing par rakh leti hai
idhar se udhar hone par
gae ke ek sing se dusre sing tak aate aate
zara upar ko duniya
hil kar rah jati hai
dadi-amman ki theory ke mutabiq
karachi bhi isi duniya mein
singon par kahin waqe hai
pichhle kuchh dinon se
ye gae kuchh thaki thaki rahne lagi hai
aur duniya ko jaldi jaldi
singon par idhar udhar karti rahti hai
lekin ye baat samajh mein nahin aati
aur dadi-amman ki tarah
hamein bhi pareshan karti hai
ki ab
jab gae duniya ko ek sing se badal kar
dusre sing par leti hai
to hamara karachi hi
sab se ziyaada kyun hilta hai
- Book : saarii nazmen (Pg. 420)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.