Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dastan-go

Zafar Sayyad

dastan-go

Zafar Sayyad

MORE BYZafar Sayyad

    mīr-bāqir-alī

    tum ne phir biich meñ dāstāñ rok

    shāh-e-gul-fām gunjal tilismoñ gutthiyoñ ko suljhātā

    sarsār jangal ke sho.ala nafas azdahoñ se nimaTtā

    bayābān-e-hairat be-ant vus.at ko sar kar ke

    pahre pe māmūr yak-chashm devoñ nazreñ bachā

    sabz qile ūñchī kagar phāñd kar

    mah-jabīñ ke muambar shabistān tak aan pahuñchā hai

    aur is taraf haq-o-tāġhūt madd-e-muqābil haiñ

    āñkheñ jidhar dekhtī haiñ kulhāḌoñ nezoñ barchhoñ fasleñ khaḌī lahlahātī nazar aa rahī haiñ

    jarī sūrmā aamne sāmne hinhināte alif hote ghoḌoñ pe zaanū jamā.e hue muntazir haiñ

    abhī tabl par thaap paḌne ko hai

    aur idhar shāhzāda tilismī mahal ke hasīñ dūdhiyā burj meñ shāh-zādī ke hajle ke andar

    abhī lājvardī chhapar-khaT zar-baft parda uThā rahā hai

    magar mīr-bāqir-alī tum ne phir biich meñ dāstāñ rok

    rāhdārī munaqqash dar-o-bām sat-rang qālīn billor qindīl favvāra barbat sunātā

    jharokoñ pe lahrāte pardoñ qaus-e-quzah

    memana maysara qalb saaqa jināh

    āhanī ḳhuud se jhāñktī murta.ish putliyāñ

    razm-gah kaḌī dhuup meñ ek sākit pharerā

    chhapar-khaT pe soī huī shāh-zādī ke pairoñ pe mehñdī beleñ

    fasāhat ke dariyā bahāte chale rahe ho

    balāġhat ke motī luTāte chale rahe ho

    magar mīr-bāqir-alī dāstāñ-go suno

    dāstāñ sunñe vaale to sadiyāñ huiiñ uTh ke bhī chuke haiñ

    tum apne tilismātī qisse ke pur-pech tāgoñ meñ aise lipaTte ga.e ho

    ki tum ko ḳhabar nahīñ

    sāmne vaalī nukkaḌ pe ik aane biscope aa ga.ī hai

    mir-baqir-ali

    tum ne phir bich mein dastan rok di

    shah-e-gul-fam gunjal tilismon ki gutthiyon ko suljhata

    sarsar jangal ke shoala nafas azdahon se nimaTta

    bayaban-e-hairat ki be-ant wusat ko sar kar ke

    pahre pe mamur yak-chashm dewon ki nazren bacha

    sabz qile ki unchi kagar phand kar

    mah-jabin ke muambar shabistan tak aan pahuncha hai

    aur is taraf haq-o-taghut madd-e-muqabil hain

    aankhen jidhar dekhti hain kulhaDon ki nezon ki barchhon ki faslen khaDi lahlahati nazar aa rahi hain

    jari surma aamne samne hinhinate alif hote ghoDon pe zanu jamae hue muntazir hain

    abhi tabl par thap paDne ko hai

    aur idhar shahzada tilismi mahal ke hasin dudhiya burj mein shah-zadi ke hajle ke andar

    abhi lajwardi chhapar-khaT ka zar-baft parda uTha hi raha hai

    magar mir-baqir-ali tum ne phir bich mein dastan rok di

    rahdari munaqqash dar-o-baam sat-rang qalin billor qindil fawwara barbat sunata

    jharokon pe lahraate pardon ki qaus-e-quzah

    memana maysara qalb saqa jinah

    aahani KHud se jhankti murtaish putliyan

    razm-gah ki kaDi dhup mein ek sakit pharera

    chhapar-khaT pe soi hui shah-zadi ke pairon pe mehndi ki belen

    fasahat ke dariya bahate chale ja rahe ho

    balaghat ke moti luTate chale ja rahe ho

    magar mir-baqir-ali dastan-go suno

    dastan sunne wale to sadiyan huin uTh ke ja bhi chuke hain

    tum apne tilismati qisse ke pur-pech tagon mein aise lipaTte gae ho

    ki tum ko KHabar hi nahin

    samne wali nukkaD pe ek aane ki biscope aa gai hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now