Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dafnane mein pahle hi bahut der ho gai hai

Najma Naseem

dafnane mein pahle hi bahut der ho gai hai

Najma Naseem

MORE BYNajma Naseem

    mere sāmne tumhārā janāza rakhā hai

    log kah rahe haiñ tum mar ga.e ho

    kisī ne mere sar pe dupaTTa Daalā hai

    safed burrāq be-dāġh

    merī saarī chūḌiyāñ kisī ne kach kach kar ke toḌ haiñ

    patā nahīñ kaun hai jo baar baar kah rahā hai

    ro lo thoḌā ro lo dil bojh halkā ho jā.egā

    mujhe rone ke bajā.e hañsī aa.e chalī rahī hai

    chaah rahā hai ḳhuub zor zor se qahqahe lagā.ūñ

    kyā rone se saare bojh halke ho jaate haiñ

    mere sāmne muddatoñ se tumhārā janāza rakhā hai

    aur

    maiñ pahlī raat se us ke pā.eñtī baiThī huuñ

    na bahne vaale āñsuoñ bojh uThā.e

    aaj kyā anhonī huī hai

    ta.affun se dimāġh phaTe rahā hai

    are koī suntā hai

    janāza uThāo dafnāne meñ pahle bahut der ho ga.ī hai

    mere samne tumhaara janaza rakha hai

    log kah rahe hain tum mar gae ho

    kisi ne mere sar pe dupaTTa Dala hai

    safed burraq be-dagh

    meri sari chuDiyan kisi ne kach kach kar ke toD di hain

    pata nahin kaun hai jo bar bar kah raha hai

    ro lo thoDa sa ro lo dil ka bojh halka ho jaega

    mujhe rone ke bajae hansi aae chali ja rahi hai

    ji chah raha hai KHub zor zor se qahqahe lagaun

    kya rone se sare bojh halke ho jate hain

    mere samne muddaton se tumhaara janaza rakha hai

    aur

    main pahli raat se us ke paenti baiThi hun

    na bahne wale aansuon ka bojh uThae

    aaj kya anhoni hui hai

    taffun se dimagh phaTe ja raha hai

    are koi sunta hai

    janaza uThao dafnane mein pahle hi bahut der ho gai hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now