aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dar-e-umid ke daryuza-gar

Faiz Ahmad Faiz

dar-e-umid ke daryuza-gar

Faiz Ahmad Faiz

MORE BYFaiz Ahmad Faiz

    phir phurere ban ke mere tan-badan dhajjiyāñ

    shahr ke dīvār-o-dar ko rañg pahnāne lagīñ

    phir kaf-ālūda zabāneñ mad.h o zam qumchiyāñ

    mere zehn o gosh ke zaḳhmoñ pe barsāne lagīñ

    phir nikal aa.e havasnākoñ ke raqsāñ tā.ife

    dardmañd-e-ishq par ThaTThe lagāne ke liye

    phir duhal karne lage tashhīr-e-iḳhlās-o-vafā

    kushta-e-sidq-o-safā dil jalāne ke liye

    ham ki haiñ kab se dar-e-ummīd ke daryūza-gar

    ye ghaḌī guzrī to phir dast-e-talab phailā.eñge

    kūcha o bāzār se phir chun ke reza reza ḳhvāb

    ham yūñhī pahle sūrat joḌne lag jā.eñge

    phir phurere ban ke mere tan-badan ki dhajjiyan

    shahr ke diwar-o-dar ko rang pahnane lagin

    phir kaf-aluda zabanen madh o zam ki qumchiyan

    mere zehn o gosh ke zaKHmon pe barsane lagin

    phir nikal aae hawasnakon ke raqsan taife

    dardmand-e-ishq par ThaTThe lagane ke liye

    phir duhal karne lage tashhir-e-iKHlas-o-wafa

    kushta-e-sidq-o-safa ka dil jalane ke liye

    hum ki hain kab se dar-e-ummid ke daryuza-gar

    ye ghaDi guzri to phir dast-e-talab phailaenge

    kucha o bazar se phir chun ke reza reza KHwab

    hum yunhi pahle ki surat joDne lag jaenge

    Source:

    Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 555)

      • Edition: 2009
      • Publisher: Educational Publishing House
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now