darmanda
ras bharā lamha
na jaane kin kaThin rāhoñ se ho kar
aaj mere tan ke is andhe nagar meñ
ek pal mehmāñ huā
ras bharā lamha
samay kī shāḳh se TuuTā
merī phailī huī jholī meñ gir kar
aaj merā ho gayā
yak-ba-yak
qarnoñ ke Thahre kārvāñ ne jhurjhurī lī chal paḌā
ras bhare lamhe kā mahmil
ūñTnī kī pusht par machlā
sunahrī ghanTiyoñ ne chīḳh kar mujh se kahā
tū rah gayā
ras bhara lamha
na jaane kin kaThin rahon se ho kar
aaj mere tan ke is andhe nagar mein
ek pal mehman hua
ras bhara lamha
samay ki shaKH se TuTa
meri phaili hui jholi mein gir kar
aaj mera ho gaya
yak-ba-yak
qarnon ke Thahre karwan ne jhurjhuri li chal paDa
ras bhare lamhe ka mahmil
unTni ki pusht par machla
sunahri ghanTiyon ne chiKH kar mujh se kaha
tu rah gaya
- Book : auraq salnama magazines (Pg. e-278 p-266)
- Author : Wazir Agha,Arif Abdul Mateen
- Publication : Daftar Mahnama Auraq Lahore (1967)
- Edition : 1967
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.