Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

darwazon ki KHud-kushi

Tabassum Zia

darwazon ki KHud-kushi

Tabassum Zia

MORE BYTabassum Zia

    darvāze kyā hote haiñ

    kyā darvāze bāhar jaane ke liye haiñ

    sirf andar aane ke liye

    darvāzoñ durust masraf samajhne se

    falsafī qāsir rahe

    ham tamām umr

    in haqīqat se nā-āshnā rahe

    hameñ ma.alūm na ho sakā

    aur darvāze hamāre andar se ḳhārij ho ga.e

    shāyad

    apne andar dāḳhil ho ga.e

    dāḳhil aur ḳhārij hone bahs jaarī thī

    ki darvāzoñ ko davām baḳhshā sake

    lekin darvāzoñ ḳhud-kushī se

    mudā.vmat maut vaaq.e ho ga.ī

    darwaze kya hote hain

    kya darwaze bahar jaane ke liye hain

    ya sirf andar aane ke liye

    darwazon ka durust masraf samajhne se

    falsafi qasir rahe

    hum tamam umr

    in ki haqiqat se na-ashna rahe

    hamein malum na ho saka

    aur darwaze hamare andar se KHarij ho gae

    ya shayad

    apne hi andar daKHil ho gae

    daKHil aur KHarij hone ki bahs jari thi

    ki darwazon ko dawam baKHsha ja sake

    lekin darwazon ki KHud-kushi se

    mudawmat ki maut waqe ho gai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now