Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dasahra

MORE BYMunshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

    hai dasahrā yādgār-e-azmat-e-hindostāñ

    hinduoñ ik qadīmī fat.h-o-nusrat nishāñ

    ik miTī ye nishānī daulat-o-iqbāl

    yaad dilvātī hai un ayyām-e-farruḳh-fāl

    jab ki thī ham meñ bhī aise zor-o-tāqat numūd

    hech thī dīvān ro.eñ tan jis se hast-o-būd

    jab akele uTh khaḌe hote the ham bahar-e-nabard

    aur kar dete the apne dushmanoñ ko gard gard

    dil meñ himmat haath meñ apne faqat shor-e-al-amāñ

    bāñdh kar vo pul samundar ko kiyā ham ne ubuur

    jis ko hairāñ dekh kar haiñ aaj bhī ahl-e-shu.ūr

    fauj-e-rāvan lā-ta.ad thī reg-e-sahrā tarah

    aur umañD aa.ī thī vaqt-e-jang dariyā tarah

    rāvan-e-ḳhuñḳhār aur vo koh-paikar is ke dev

    jin ḳhūñ-ḳhvārī thā saare zamāne meñ ġharīv

    qila vo lanka jo nā-qābiluttasḳhīr thā

    jis pe nāzāñ apne dil meñ rāvan-e-be-pīr thā

    the tilā.ī burj jis ke aur murassā bām-o-dar

    jin choTī par na pahuñche koī murġh-e-tez-par

    sauda-e-lāl-o-zamurrad thī vahāñ ḳhaak bhī

    ik tilism aisā ki qāsir thā jahāñ aur ik bhī

    ham ne aise dushmanoñ par fat.h paa.ī thī kabhī

    apne hisse meñ bhī ye mojiz-numā.ī thī kabhī

    aaj vo din hai ki ham us yaad ko taaza kareñ

    rū-e-zebā-e-urūs-e-fat.h pur ġhāza kareñ

    mil ke gaa.eñ raam ke gun dil meñ ho josh-e-surūr

    qalb-e-sāfī maḳhzan-e-vahdat ho siina rashk-e-tūr

    ye dasahrā ashra-e-ishrat hai apne vāste

    ḳhāliq-e-kaunain ne.amat hai apne vāste

    hai dasahra yaadgar-e-azmat-e-hindostan

    hinduon ki ek qadimi fath-o-nusrat ka nishan

    ek miTi si ye nishani daulat-o-iqbaal ki

    yaad dilwati hai un ayyam-e-farruKH-fal ki

    jab ki thi hum mein bhi aise zor-o-taqat ki numud

    hech thi diwan roen tan ki jis se hast-o-bud

    jab akele uTh khaDe hote the hum bahar-e-nabard

    aur kar dete the apne dushmanon ko gard gard

    dil mein himmat hath mein apne faqat shor-e-al-aman

    bandh kar wo pul samundar ko kiya hum ne ubur

    jis ko hairan dekh kar hain aaj bhi ahl-e-shuur

    fauj-e-rawan la-tad thi reg-e-sahra ki tarah

    aur umanD aai thi waqt-e-jang dariya ki tarah

    rawan-e-KHunKHar aur wo koh-paikar is ke dew

    jin ki KHun-KHwari ka tha sare zamane mein ghariw

    qila wo lanka ka jo na-qabiluttasKHir tha

    jis pe nazan apne dil mein rawan-e-be-pir tha

    the tilai burj jis ke aur murassa baam-o-dar

    jin ki choTi par na pahunche koi murgh-e-tez-par

    sauda-e-lal-o-zamurrad thi wahan ki KHak bhi

    ek tilism aisa ki qasir tha jahan aur ek bhi

    hum ne aise dushmanon par fath pai thi kabhi

    apne hisse mein bhi ye mojiz-numai thi kabhi

    aaj wo din hai ki hum us yaad ko taza karen

    ru-e-zeba-e-urus-e-fath pur ghaza karen

    mil ke gaen ram ke gun dil mein ho josh-e-surur

    qalb-e-safi maKHzan-e-wahdat ho sina rashk-e-tur

    ye dasahra ashra-e-ishrat hai apne waste

    KHaliq-e-kaunain ki neamat hai apne waste

    Source:

    (Pg. 94)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now