Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

canwas koi sada nahin

Zaheer Siddiqui

canwas koi sada nahin

Zaheer Siddiqui

MORE BYZaheer Siddiqui

    TūTtī reza reza simaTtī huī sā.atoñ

    koī sat.h-e-sāda nahīñ

    ek vaqfa dāman bhī dhabboñ se ḳhālī nahīñ

    ye nazar nahīñ

    asl meñ ik tazād-e-nazar karishma hai

    varna ye aurāq-e-mahtāb bhī

    jitne lagte haiñ ujle nahīñ

    muñh khulī aur laḌkī huī raat se

    lamha lamha bhabaktī huī raushnā.ī

    bahut tez hai

    raat ke ko.ele

    jab shurūāt taqrīb ke dhīme dhīme sulagte alaav meñ

    jalne lageñ us ghaḌī

    aur jab beach ke marhale meñ dahakne lageñ us ghaḌī

    aur jab ḳhatm taqrīb raakh meñ aañkh milne lageñ

    is ghaḌī bhī safedī ḳhālis tasavvur nahīñ

    apnī marzī be-dāġh tasvīr ke vāste

    canvas koī saada nahīñ

    TuTti reza reza simaTti hui saaton ki

    koi sath-e-sada nahin

    ek waqfa ka daman bhi dhabbon se KHali nahin

    ye nazar ka nahin

    asl mein ek tazad-e-nazar ka karishma hai

    warna ye auraq-e-mahtab bhi

    jitne lagte hain ujle nahin

    munh khuli aur laDki hui raat se

    lamha lamha bhabakti hui raushnai

    bahut tez hai

    raat ke koele

    jab shuruat taqrib ke dhime dhime sulagte alaw mein

    jalne lagen us ghaDi

    aur jab beach ke marhale mein dahakne lagen us ghaDi

    aur jab KHatm taqrib ki rakh mein aankh milne lagen

    is ghaDi bhi safedi ka KHalis tasawwur nahin

    apni marzi ki be-dagh taswir ke waste

    canwas koi sada nahin

    Source:

    Roshan waraq waraq (Pg. 120)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now