Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

december mujhe ras aata nahin

Mohsin Naqvi

december mujhe ras aata nahin

Mohsin Naqvi

MORE BYMohsin Naqvi

    ka.ī saal guzre

    ka.ī saal biite

    shab-o-roz gardishoñ tasalsul

    dil-o-jān meñ sāñsoñ parteñ ulTe hue

    zalzaloñ tarah hāñptā hai

    chaTaḳhte hue ḳhvāb

    āñkhoñ nāzuk rageñ chhīlte haiñ

    magar maiñ ik saal god meñ jāgtī sub.h ko

    be-karāñ chāhatoñ se aTī zindagī duā de kar

    ab tak vahī justujū safar kar rahā huuñ

    guzartā huā saal jaisā bhī guzrā

    magar saal ke āḳhirī din

    nihāyat kaThin haiñ

    mire milne vaalo

    na.e saal muskurātī huī sub.h gar haath aa.e

    to milnā

    ki jaate hue saal sā.atoñ meñ

    ye bujhtā huā dil

    dhaḌaktā to hai muskurātā nahīñ

    december mujhe raas aatā nahīñ

    kai sal guzre

    kai sal bite

    shab-o-roz ki gardishon ka tasalsul

    dil-o-jaan mein sanson ki parten ulTe hue

    zalzalon ki tarah hanpta hai

    chaTaKHte hue KHwab

    aankhon ki nazuk ragen chhilte hain

    magar main ek sal ki god mein jagti subh ko

    be-karan chahaton se aTi zindagi ki dua de kar

    ab tak wahi justuju ka safar kar raha hun

    guzarta hua sal jaisa bhi guzra

    magar sal ke aaKHiri din

    nihayat kaThin hain

    mere milne walo

    nae sal ki muskuraati hui subh gar hath aae

    to milna

    ki jate hue sal ki saaton mein

    ye bujhta hua dil

    dhaDakta to hai muskuraata nahin

    december mujhe ras aata nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now