Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nae shahr

Zahid Dar

nae shahr

Zahid Dar

MORE BYZahid Dar

    gahre shahroñ meñ rahne se vus.at ehsās miTā

    lā-mahdūd ḳhalāoñ ḳhāmoshī

    ḳhauf miTā

    ab ārām hai

    jañgal jaadū aur havāoñ sañgīt nahīñ to kyā hai

    ab ārām ki ab agyān ke paidā-karda haath nahīñ

    zālim haath ki jin hāthoñ meñ haath diye

    maz.hab ke vīrānoñ meñ maiñ maarā maarā phirtā thā

    ab ārām

    samundar āvāz nahīñ to kyā hai

    us bastī sab galiyoñ meñ chalne āzādī hai

    us bastī galiyoñ ke nāmoñ meñ nekī aur badī ke naam nahīñ

    sīdhe-sāde naam haiñ jaise lālach ġhussa bhuuk mohabbat nafrat

    sab galiyoñ meñ chalne āzādī hai

    shahr nahīñ haiñ chāroñ jānib shor shor hai kyā hai

    gahre shahroñ meñ rahne se azmat ehsās miTā

    lambe hamloñ par jaane qudrat se Takrāne armān miTā

    ab ārām hai shahroñ meñ insān miTā

    gahre shahron mein rahne se wusat ka ehsas miTa

    la-mahdud KHalaon ki KHamoshi ka

    KHauf miTa

    ab aaram hai

    jangal ka jadu aur hawaon ka sangit nahin to kya hai

    ab aaram ki ab agyan ke paida-karda hath nahin

    zalim hath ki jin hathon mein hath diye

    mazhab ke viranon mein main mara mara phirta tha

    ab aaram

    samundar ki aawaz nahin to kya hai

    us basti ki sab galiyon mein chalne ki aazadi hai

    us basti ki galiyon ke namon mein neki aur badi ke nam nahin

    sidhe-sade nam hain jaise lalach ghussa bhuk mohabbat nafrat

    sab galiyon mein chalne ki aazadi hai

    shahr nahin hain chaaron jaanib shor hi shor hai kya hai

    gahre shahron mein rahne se azmat ka ehsas miTa

    lambe hamlon par jaane ka qudrat se Takrane ka arman miTa

    ab aaram hai shahron mein insan miTa

    Source:

    Nai Nazm ka safar (Pg. 219)

    • Author: Khalilur Rahman Azmi
      • Edition: 2011
      • Publisher: NCPUL, New Delhi
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now