Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Dhaka se wapsi par

Faiz Ahmad Faiz

Dhaka se wapsi par

Faiz Ahmad Faiz

MORE BYFaiz Ahmad Faiz

    Interesting Fact

    Faiz wrote this nazm after his visit to Dhaka in 1974

    ham ki Thahre ajnabī itnī mudārātoñ ke ba.ad

    phir baneñge āshnā kitnī mulāqātoñ ke ba.ad

    kab nazar meñ aa.egī be-dāġh sabze bahār

    ḳhuun ke dhabbe dhuleñge kitnī barsātoñ ke ba.ad

    the bahut bedard lamhe ḳhatm-e-dard-e-ishq ke

    thiiñ bahut be-mehr sub.heñ mehrbāñ rātoñ ke ba.ad

    dil to chāhā par shikast-e-dil ne mohlat na

    kuchh gile shikve bhī kar lete munājātoñ ke ba.ad

    un se jo kahne ga.e the 'faiz' jaañ sadqe kiye

    an-kahī rah ga.ī vo baat sab bātoñ ke ba.ad

    hum ki Thahre ajnabi itni mudaraaton ke baad

    phir banenge aashna kitni mulaqaton ke baad

    kab nazar mein aaegi be-dagh sabze ki bahaar

    KHun ke dhabbe dhulenge kitni barsaton ke baad

    the bahut bedard lamhe KHatm-e-dard-e-ishq ke

    thin bahut be-mehr subhen mehrban raaton ke baad

    dil to chaha par shikast-e-dil ne mohlat hi na di

    kuchh gile shikwe bhi kar lete munajaton ke baad

    un se jo kahne gae the 'faiz' jaan sadqe kiye

    an-kahi hi rah gai wo baat sab baaton ke baad

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Bharathi Vishwanathan

    Bharathi Vishwanathan

    Nayyara Noor

    Nayyara Noor

    Nayyara Noor

    Nayyara Noor

    RECITATIONS

    Nayyara Noor

    Nayyara Noor,

    Nayyara Noor

    Dhaka se wapsi par Nayyara Noor

    Source:

    Nuskha Hai Wafa (Pg. 538)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now