Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dhuan

MORE BYSalam Machhli shahri

    vo qahva-ḳhāne meñ aayā

    aur hamārī mez ke kināre bin pūchhe baiTh gayā

    ham bātoñ meñ kho.e hue the

    soch rahe the duniyā kyā hai

    kyā ye stage hai jis par jīvan naTak hotā hai

    kyā ham is be-nām Darāme ke haiñ bas farzī kirdār?

    uljhī thī apnī guftār

    aur achānak vo nau-vārid

    cigarette ek gahrā kash le kar uTThā

    ham logoñ ko ġhaur se dekhā

    aur ye kah kar jaane lagā

    tum sab itnā soch rahe ho

    mujh se pūchho duniyā kyā hai

    ham ne sochā baat karegā

    lekin ek barqī sur.at se vo nau-vārid bhī chukā thā

    (baire ne batlāyā sāhib! aane vaalā dīvāna thaa)

    ab ham log ye soch rahe the

    vo to ḳhair ek farzānā thā

    lekin ham is fikr ke hāthoñ ik din pāgal ho jā.eñge

    cigarette aur kaafī dhueñ meñ uḌ kar bādal ho jā.eñge!!

    wo qahwa-KHane mein aaya

    aur hamari mez ke kinare bin puchhe hi baiTh gaya

    hum baaton mein khoe hue the

    soch rahe the duniya kya hai

    kya ye stage hai jis par jiwan ka naTak hota hai

    kya hum is be-nam Darame ke hain bas farzi kirdar?

    uljhi thi apni guftar

    aur achanak wo nau-warid

    cigarette ka ek gahra sa kash le kar uTTha

    hum logon ko ghaur se dekha

    aur ye kah kar jaane laga

    tum sab itna soch rahe ho

    mujh se puchho duniya kya hai

    hum ne socha baat karega

    lekin ek barqi surat se wo nau-warid ja bhi chuka tha

    (baire ne batlaya sahib! aane wala diwana tha)

    ab hum log ye soch rahe the

    wo to KHair ek farzana tha

    lekin hum is fikr ke hathon ek din pagal ho jaenge

    cigarette aur kafi dhuen mein uD kar baadal ho jaenge!!

    Source:

    aazaadii ke baad delhi men urdu nazm (Pg. 173)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now