Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dhup

MORE BYAftab Shamsi

    khiḌkī ke shīshe se chhan kar

    kamre meñ aa jaatī hai

    mez tasvīroñ ko apne

    hāthoñ se chamkātī hai

    saarī kitāboñ ke chehroñ ko

    ujlā kartī jaatī hai

    phir mere bistar se mujh ko

    uThne par uksātī hai

    maiñ roz apne ḳhvāb adhūre

    chhoḌ ke bāhar jaatā huuñ!

    khiDki ke shishe se chhan kar

    kamre mein aa jati hai

    mez ki taswiron ko apne

    hathon se chamkati hai

    sari kitabon ke chehron ko

    ujla karti jati hai

    phir mere bistar se mujh ko

    uThne par uksati hai

    main roz apne KHwab adhure

    chhoD ke bahar jata hun!

    Source:

    Khla Ki Dhund Men Ham Chal Rahe Hain (Pg. 43)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now