Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dhup ka zaiqa

Omainuz Zahra Sayyad

dhup ka zaiqa

Omainuz Zahra Sayyad

MORE BYOmainuz Zahra Sayyad

    dhuup sargoshī se

    zamīn bhurnhurī miTTī murta.ish huī

    safedī surḳhī meñ Dhalī

    phir zarḳhezī banjar huī

    hairat tazabzub shikār hai

    thakan zindagī se baḌh rahī hai

    ukhaḌtī sāñsoñ

    alvidā'ī mahak se

    kamra udaas hai

    side Table pe dhare pen

    aur diary

    muntazir haiñ

    shāyad

    ki āḳhirī shaam un pe darj jaa.e

    palkoñ ke pīchhe

    chhupī āñkhoñ ke ḳhvāb niile ho chuke haiñ

    intizār āḳhirī karvaT se sanjīda hañsī āmezish

    lahū rang

    āñsūoñ meñ ghul kar so ga.ī hai

    dhuup zā.iqa hifz karnā āsān nahīñ hotā

    dhup ki sargoshi se

    zamin ki bhurnhuri miTTi murtaish hui

    safedi surKHi mein Dhali

    ya phir zarKHezi banjar hui

    hairat tazabzub ka shikar hai

    thakan zindagi se baDh rahi hai

    ukhaDti sanson ki

    alwida'i mahak se

    kamra udas hai

    side Table pe dhare pen

    aur diary

    muntazir hain

    shayad

    ki aaKHiri sham un pe darj ki jae

    palkon ke pichhe

    chhupi aankhon ke KHwab nile ho chuke hain

    intizar ki aaKHiri karwaT se sanjida si hansi ki aamezish

    lahu rang

    aansuon mein ghul kar so gai hai

    dhup ka zaiqa hifz karna aasan nahin hota

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now