Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

diwali aai

kanval Dibaivi

diwali aai

kanval Dibaivi

MORE BYkanval Dibaivi

    chaar jānib hai yahī shor divālī aa.ī

    sāl-e-māzī tarah laa.ī hai ḳhushiyāñ imsāl

    yuuñ to har shaḳhs masarrat se khilā jaatā hai

    phir bhī bachche hue jaate haiñ ḳhushī se behāl

    har bashar mahv hai is jashn tayyārī meñ

    taaki ḳhushiyoñ qamar aur ziyā-baḳhsh hai

    kar rahe haiñ sabhī mil-jul ke safā.ī ghar

    un koshish hai ki tābinda har ek naqsh bane

    utar aa.e haiñ zamīñ par bhī falak se taare

    dāman-e-charḳh meñ ai dosto kyā rakkhā hai

    rashk-aflāk nazar aatī hai har ik bastī

    aaj dhartī ko bhī ākāsh banā rakkhā hai

    sāf-shaffāf chamakte hue pur-nūr makāñ

    sehn-e-gulshan meñ khile jaise hoñ rañgīn gulāb

    jhiil meñ tairte hoñ nuur se ma.amūr kañval

    utar aa.e hoñ gardūñ se hazāroñ mahtāb

    mujh ko bhātī nahīñ vallāh maiñ sach kahtā huuñ

    zāhirī aur dikhāve sajāvaT yaaro

    jab ki āzād haiñ sab mulk bhī apnā āzād

    mujh ko achchhī nahīñ lagtī hai banāvaT ab to

    ham ne ajdād ādāt bhulā rakkhī haiñ

    un nazroñ meñ to har qaum barābar thī kañval

    vo samajhte the har ik qaum ko apnā bhaa.ī

    un is baat ke shāhid haiñ abhī dasht-o-jabal

    dasht meñ raam ne shabrī ziyāfat khaa.ī

    bhīlnī ke yahāñ khāne meñ bhī inkār na thā

    kyā batā.eñge ye arbāb-e-ḳhirad ab mujh ko

    ġhair sugrīv shrī-rām kyā yaar na thā

    raam fauj meñ har qaum ke afrād na the

    kyā hanūmān na the fauj un sālār

    maiñ karūñ us shikāyat to nahīñ hai bejā

    kyā tumheñ aaj haqīqat meñ hai ajdād se pyaar

    kyā tumheñ chhūt ye dars buzurgoñ ne diyā

    kyā tumheñ firqa-parastī ijāzat thī

    raam ke mānñe vaalo kabhī itnā sochā

    kyā buzurgoñ ne kisī qaum se nafrat thī

    merā kahnā hai yahī hind ke bāshindoñ se

    qalb apne safā.ī karo pahle yaaro

    dil meñ nafrat siyāhī jo āmezish hai

    āb-e-ulfat se dhulā.ī karo pahle yaaro

    ab to ulfat ke charāġhoñ ko jalā kar pahle

    ghar meñ har ik ke na.ī jot jagānā hai tumheñ

    nūr-e-ulfat se sajānā hai na.e bhārat ko

    mil ke tyauhār divālī manānā hai tumheñ

    mujh ko ḳhvāhish hai usī shaan dīvālī

    laxmī desh meñ ulfat shab-o-roz rahe

    desh ko pyaar se mehnat se sañvāreñ mil kar

    ahl-e-bhārat ke diloñ meñ ye 'kañval' soz rahe

    chaar jaanib hai yahi shor diwali aai

    sal-e-mazi ki tarah lai hai KHushiyan imsal

    yun to har shaKHs masarrat se khila jata hai

    phir bhi bachche hue jate hain KHushi se behaal

    har bashar mahw hai is jashn ki tayyari mein

    taki KHushiyon ka qamar aur ziya-baKHsh hai

    kar rahe hain sabhi mil-jul ke safai ghar ki

    un ki koshish hai ki tabinda har ek naqsh bane

    utar aae hain zamin par bhi falak se tare

    daman-e-charKH mein ai dosto kya rakkha hai

    rashk-aflak nazar aati hai har ek basti

    aaj dharti ko bhi aakash bana rakkha hai

    saf-shaffaf chamakte hue pur-nur makan

    sehn-e-gulshan mein khile jaise hon rangin gulab

    jhil mein tairte hon nur se mamur kanwal

    ya utar aae hon gardun se hazaron mahtab

    mujh ko bhati nahin wallah main sach kahta hun

    zahiri aur dikhawe ki sajawaT yaro

    jab ki aazad hain sab mulk bhi apna aazad

    mujh ko achchhi nahin lagti hai banawaT ab to

    hum ne ajdad ki aadat bhula rakkhi hain

    un ki nazron mein to har qaum barabar thi kanwal

    wo samajhte the har ek qaum ko apna bhai

    un ki is baat ke shahid hain abhi dasht-o-jabal

    dasht mein ram ne shabri ki ziyafat khai

    bhilni ke yahan khane mein bhi inkar na tha

    kya bataenge ye arbab-e-KHirad ab mujh ko

    ghair sugriw shri-ram ka kya yar na tha

    ram ki fauj mein har qaum ke afrad na the

    kya hanuman na the fauj ki un ki salar

    main karun us ki shikayat to nahin hai beja

    kya tumhein aaj haqiqat mein hai ajdad se pyar

    kya tumhein chhut ka ye dars buzurgon ne diya

    kya tumhein firqa-parasti ki ijazat di thi

    ram ke manne walo kabhi itna socha

    kya buzurgon ne kisi qaum se nafrat ki thi

    mera kahna hai yahi hind ke bashindon se

    qalb ki apne safai karo pahle yaro

    dil mein nafrat ki siyahi ki jo aamezish hai

    aab-e-ulfat se dhulai karo pahle yaro

    ab to ulfat ke charaghon ko jala kar pahle

    ghar mein har ek ke nai jot jagana hai tumhein

    nur-e-ulfat se sajaana hai nae bhaarat ko

    mil ke tyauhaar diwali ka manana hai tumhein

    mujh ko KHwahish hai usi shan ki diwali ki

    laxmi desh mein ulfat ki shab-o-roz rahe

    desh ko pyar se mehnat se sanwaren mil kar

    ahl-e-bhaarat ke dilon mein ye 'kanwal' soz rahe

    Source:

    Mizraab (Kulliyat) (Pg. 78)

    • Author: Kanwal Dibaivi
      • Edition: 2010
      • Publisher: Kitabi Duniya, Delhi
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now