aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

diwali

MORE BYArsh Malsiyani

    dīvālī

    raghubir paak yaad unvāñ liye hue

    zulmat ke ghar meñ jalva-e-tābāñ liye hue

    tārīkiyoñ meñ nuur sāmāñ liye hue

    aa.ī hai apne saath charāġhāñ liye hue

    allāh-re ye taab ye tanvīr ye jamāl

    ḳhurshīd nazar bhī hai jamnī yahāñ muhāl

    taarī hai zāhidoñ pe bhī aalam surūr

    ab kis liye ḳhayāl ho hūr-o-qusūr

    aalam to dekhiye shab-e-yaldā pe nuur

    julte haiñ ye charāġh ki jalva hai tuur

    manzar bahisht hai ye shab hai shab-e-barāt

    tanvīr-e-āftāb partav hai aaj raat

    vo raam jo ki kāmil-e-sidq-o-safā rahā

    vo raam jo ki sālik-e-rāh-e-huda rahā

    vo raam jo ki ā.īna-e-haq-numā rahā

    vo raam jo ki qāte-e-jaur-o-jafā rahā

    ye raat yādgār hai us nek zaat

    us paikar-e-ḳhulūs vaalā sifāt

    chaudah baras ke ba.ad jo aayā vatan meñ raam

    har lab thā vaqf-e-naġhma to har dil thā shād-kām

    thī rashk-e-nūr sub.h-e-banaras avadh shaam

    ahl-e-ayodhyā zabāñ par thā ye kalām

    ham be-basoñ qāfila-sālār aa gayā

    ban-bāsiyoñ fauj sardār aa gayā

    diwali

    raghubir ki pak yaad ka unwan liye hue

    zulmat ke ghar mein jalwa-e-taban liye hue

    tarikiyon mein nur ka saman liye hue

    aai hai apne sath charaghan liye hue

    allah-re ye tab ye tanwir ye jamal

    KHurshid ki nazar bhi hai jamni yahan muhaal

    tari hai zahidon pe bhi aalam surur ka

    ab kis liye KHayal ho hur-o-qusur ka

    aalam to dekhiye shab-e-yalda pe nur ka

    julte hain ye charagh ki jalwa hai tur ka

    manzar bahisht ka hai ye shab hai shab-e-baraat

    tanwir-e-aftab ka partaw hai aaj raat

    wo ram jo ki kaamil-e-sidq-o-safa raha

    wo ram jo ki salik-e-rah-e-huda raha

    wo ram jo ki aaina-e-haq-numa raha

    wo ram jo ki qate-e-jaur-o-jafa raha

    ye raat yaadgar hai us nek zat ki

    us paikar-e-KHulus ki wala sifat ki

    chaudah baras ke baad jo aaya watan mein ram

    har lab tha waqf-e-naghma to har dil tha shad-kaam

    thi rashk-e-nur subh-e-banaras awadh ki sham

    ahl-e-ayodhya ki zaban par tha ye kalam

    hum be-bason ka qafila-salar aa gaya

    ban-basiyon ki fauj ka sardar aa gaya

    Source:

    Kulliyat-e-Arsh (Pg. 234)

    • Author: Arsh Malsiyanii
      • Publisher: Ali Hujwiri Publisher H. 811, A Androon, Akbari Gate,

    This content features in following collection(s)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now