Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

diwane ki jannat

Waseem Barelvi

diwane ki jannat

Waseem Barelvi

MORE BYWaseem Barelvi

    merā ye ḳhvāb ki tum mere qarīb aa.ī ho

    apne saa.e se jhijaktī huī ghabrātī huī

    apne ehsās tahrīk pe sharmātī huī

    apne qadmoñ bhī āvāz se katrātī huī

    apnī sāñsoñ ke mahakte hue andāz liye

    apnī ḳhāmoshī meñ gahnā.e hue raaz liye

    apne hoñToñ pe ik anjām āġhāz liye

    dil dhaḌkan ko bahut roktī samjhātī huī

    apnī paa.el ġhazal-ḳhvānī pe jhallātī huī

    narm shānoñ pe javānī nayā baar liye

    shoḳh āñkhoñ meñ hijābāt se inkār liye

    tez nabzoñ meñ mulāqāt ke āsār liye

    kaale bāloñ se bikhartī huī champā mahak

    surḳh aariz pe damakte hue shāloñ chamak

    nīchī nazroñ meñ samā.ī huī ḳhuddār jhijak

    nuqra.ī jism pe vo chāñd kirnoñ phuvār

    chāñdnī raat meñ bujhtā huā palkoñ sitār

    fart-e-jazbāt se mahkī huī sāñsoñ qatār

    duur maazī bad-anjām rivāyāt liye

    nīchī nazreñ vahī ehsās-e-mulāqāt liye

    vahī māhaul vahī tāroñ bharī raat liye

    aaj tum aa.ī ho dohrātī huī maazī ko

    merā ye ḳhvāb ki tum mere qarīb aa.ī ho

    kaash ik ḳhvāb rahe talḳh haqīqat na bane

    ye mulāqāt bhī dīvāne jannat na bane

    mera ye KHwab ki tum mere qarib aai ho

    apne sae se jhijakti hui ghabraati hui

    apne ehsas ki tahrik pe sharmati hui

    apne qadmon ki bhi aawaz se katraati hui

    apni sanson ke mahakte hue andaz liye

    apni KHamoshi mein gahnae hue raaz liye

    apne honTon pe ek anjam ka aaghaz liye

    dil ki dhaDkan ko bahut rokti samjhati hui

    apni pael ki ghazal-KHwani pe jhallati hui

    narm shanon pe jawani ka naya bar liye

    shoKH aankhon mein hijabaat se inkar liye

    tez nabzon mein mulaqat ke aasar liye

    kale baalon se bikharti hui champa ki mahak

    surKH aariz pe damakte hue shaalon ki chamak

    nichi nazron mein samai hui KHuddar jhijak

    nuqrai jism pe wo chand ki kirnon ki phuwar

    chandni raat mein bujhta hua palkon ka sitar

    fart-e-jazbaat se mahki hui sanson ki qatar

    dur mazi ki bad-anjam riwayat liye

    nichi nazren wahi ehsas-e-mulaqat liye

    wahi mahaul wahi taron bhari raat liye

    aaj tum aai ho dohraati hui mazi ko

    mera ye KHwab ki tum mere qarib aai ho

    kash ek KHwab rahe talKH haqiqat na bane

    ye mulaqat bhi diwane ki jannat na bane

    Source:

    Mausam Andar Bahar ke (Pg. 80)

    • Author: Waseem Barelvi
      • Edition: 2007
      • Publisher: Maktaba Jamia Ltd.
      • Year of Publication: 2007
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now