Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

diwaron ke pichhe

Naseem Syed

diwaron ke pichhe

Naseem Syed

MORE BYNaseem Syed

    phir kal raat

    merī āñkheñ be-ḳhvāb rahīñ

    kamre sākit dīvāroñ ke us paar

    vahī garajtā vahshī lahja

    ghuTī ghuTī siskī ko

    kitnī be-rahmī se noch rahā thā

    Dūbtī raat ke sannāTe meñ

    us madad ko kise pukārūñ

    kaun aa.egā

    koī muhāfiz aayā bhī to

    dīvāroñ ke andar ke qānūn ke aage

    ḳhud ko aajiz batlā.egā

    aksar aisā hotā thā

    aksar bhor samay tak vo yūñhī rotī thī

    lekin aaj achānak kyoñ ḳhāmosh huī

    ḳhauf ThanDak

    merī ruuh talak dhañs aa.ī

    sub.h savere

    maiñ ne dekhā

    us ke darvāze ke aage

    kuchh qānūn ke rakhvāle

    ik ambulance ke paas khaḌe the

    amn ḳhātir

    ab un qātil hāthoñ meñ

    zanjīr paḌī thī

    mayyat ambulance meñ dharī thī

    phir kal raat

    meri aankhen be-KHwab rahin

    kamre ki sakit diwaron ke us par

    wahi garajta wahshi lahja

    ghuTi ghuTi siski ko

    kitni be-rahmi se noch raha tha

    Dubti raat ke sannaTe mein

    us ki madad ko kise pukarun

    kaun aaega

    koi muhafiz aaya bhi to

    diwaron ke andar ke qanun ke aage

    KHud ko aajiz batlaega

    aksar aisa hi hota tha

    aksar bhor samay tak wo yunhi roti thi

    lekin aaj achanak kyon KHamosh hui

    KHauf ki ThanDak

    meri ruh talak dhans aai

    subh sawere

    main ne dekha

    us ke darwaze ke aage

    kuchh qanun ke rakhwale

    ek ambulance ke pas khaDe the

    amn ki KHatir

    ab un qatil hathon mein

    zanjir paDi thi

    mayyat ambulance mein dhari thi

    Source:

    Aadhi Gawahi (Pg. 98)

    • Author: Naseem Syed
      • Publisher: Irtiqa Matbuat, Karachi
      • Year of Publication: 1994
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now