Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil-e-betab Thahar

Shahid Sagri

dil-e-betab Thahar

Shahid Sagri

MORE BYShahid Sagri

    us se milne de nigāheñ dil-e-betāb Thahar

    ishq khilne de rāheñ dil-e-betāb Thahar

    koī dam meñ nigah-e-yār hai uThne vaalī

    ho na jaa.e dil-e-betāb tirī pāmālī

    dekhī jā.egī na phir terī pareshāñ-hālī

    ne furqat meñ taḌapne qasam kyoñ khā

    dil-e-betāb Thahar ai dil-e-betāb Thahar

    us se iz.hār-e-tamannā to zarā karne de

    vo jafā-jū hai jafā-gar hai jafā karne de

    us ko karne bhī de majrūh-e-adā karne de

    kyoñ karūñ tark-e-vafā mujh ko vafā karne de

    dil-e-betāb Thahar ai dil-e-betāb Thahar

    mastī-e-husn bhar ke nazārā kar luuñ

    ḳhūgar-e-dard huuñ jiine sahārā kar luuñ

    ġham judā.ī ke ba-sad-shauq gavārā kar luuñ

    muztar-e-ishq huuñ kuchh zabt yaarā kar luuñ

    dil-e-betāb Thahar ai dil-e-betāb Thahar

    us se milne de nigāheñ dil-e-betāb Thahar

    ishq khulne de rāheñ dil-e-betāb Thahar

    us se milne de nigahen dil-e-betab Thahar

    ishq ki khilne de rahen dil-e-betab Thahar

    koi dam mein nigah-e-yar hai uThne wali

    ho na jae dil-e-betab teri pamali

    dekhi jaegi na phir teri pareshan-haali

    tu ne furqat mein taDapne ki qasam kyon kha li

    dil-e-betab Thahar ai dil-e-betab Thahar

    us se izhaar-e-tamanna to zara karne de

    wo jafa-ju hai jafa-gar hai jafa karne de

    us ko karne bhi de majruh-e-ada karne de

    kyon karun tark-e-wafa mujh ko wafa karne de

    dil-e-betab Thahar ai dil-e-betab Thahar

    masti-e-husn ka ji bhar ke nazara kar lun

    KHugar-e-dard hun jine ka sahaara kar lun

    gham judai ke ba-sad-shauq gawara kar lun

    muztar-e-ishq hun kuchh zabt ka yara kar lun

    dil-e-betab Thahar ai dil-e-betab Thahar

    us se milne de nigahen dil-e-betab Thahar

    ishq ki khulne de rahen dil-e-betab Thahar

    Source:

    Sadiyon Ka Karb (Pg. 44)

    • Author: Shahid Sagri
      • Publisher: Nishat Offset Press, Faizabad
      • Year of Publication: 1991
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now