Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil-e-muztarib

Sara Khan

dil-e-muztarib

Sara Khan

MORE BYSara Khan

    ai dil-e-muztarib

    ai mire bevafā

    ai mire be-rahm

    ab Thahar zarā

    jān-e-man

    baaz aa

    baaz aa

    chāhe jaane ḳhvāhish meñ maarā gayā

    in sarāboñ ke pīchhe ghāyal huā

    mere mizhgāñ pe taare haiñ bikhre hue

    kaun dekhe inheñ

    haiñ diyā in āñkhoñ meñ pal pal jo parvāne machle hue

    ye to jal jā.eñge

    ḳhaak ho jā.eñge

    chāhe jaane ḳhvāhish meñ mar jā.eñge

    ai dil-e-be-ḳhabar na sah pā.egā

    bhī mar jā.egā

    ai mire chārāgar

    ki ḳhud maraz ki ḳhud shifā

    masīhā bhī ḳhud ki ḳhud davā

    ai dil-e-be-ḳhabar

    chāhe jaane sab shiddatoñ ko ghaTā

    baaz aa baaz aa

    ai dil-e-muztarib

    ai mere bewafa

    ai mere be-rahm

    ab Thahar ja zara

    jaan-e-man

    baz aa

    baz aa

    chahe jaane ki KHwahish mein mara gaya

    in sarabon ke pichhe tu ghayal hua

    mere mizhgan pe tare hain bikhre hue

    kaun dekhe inhen

    hain diya si in aankhon mein pal pal jo parwane machle hue

    ye to jal jaenge

    KHak ho jaenge

    chahe jaane ki KHwahish mein mar jaenge

    ai dil-e-be-KHabar tu na sah paega

    tu bhi mar jaega

    ai mere chaaragar

    tu ki KHud hi maraz tu ki KHud hi shifa

    tu masiha bhi KHud tu ki KHud hi dawa

    ai dil-e-be-KHabar

    chahe jaane ki sab shiddaton ko ghaTa

    baz aa baz aa

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now