Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil-e-yas KHu

Krishn Murari

dil-e-yas KHu

Krishn Murari

MORE BYKrishn Murari

    ye sub.h ab bhī hai itnī rangīñ

    isī lagan se latīf kirnoñ jaal ab bhī

    bichhā rahā hai hasīn sūraj

    luTā rahī hai

    ye sandhyā ab bhī siñdūr har-sū

    ye chāñd ab bhī miThās dhartī ko de rahā hai

    bikherte haiñ shamīm dil-kash nasīm ke jāñ-navāz jhoñke

    vishāl ākāsh meñ dhanak ziyā jaadū nikhar gayā hai

    magar ye saare manāzir-e-dil-fareb mere athāh ġham ko miTā na paa.e

    udaas haiñ zehn-o-qalb aur yaas ek bandhan ban ga.ī hai

    ki bujh ga.ī haiñ vafā sham'eñ

    udaas din haiñ udaas rāteñ

    ho jis tarah koī tiira jangal

    ki jis sannāTā dil ke Dasne ko sar uThā.e

    ye subh ab bhi hai itni rangin

    isi lagan se latif kirnon ka jal ab bhi

    bichha raha hai hasin suraj

    luTa rahi hai

    ye sandhya ab bhi sindur har-su

    ye chand ab bhi miThas dharti ko de raha hai

    bikherte hain shamim dil-kash nasim ke jaan-nawaz jhonke

    wishaal aakash mein dhanak ki ziya ka jadu nikhar gaya hai

    magar ye sare manazir-e-dil-fareb mere athah gham ko miTa na pae

    udas hain zehn-o-qalb aur yas ek bandhan sa ban gai hai

    ki bujh gai hain wafa ki sham'en

    udas din hain udas raaten

    ho jis tarah koi tera jangal

    ki jis ka sannaTa dil ke Dasne ko sar uThae

    Source:

    Tehreek Bis sala intekhab Number (Pg. 282)

      • Publisher: Gopal Mittal
      • Year of Publication: 1953
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now