Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dilip-kumar ki aaKHiri KHwahish

Irfan Shahood

dilip-kumar ki aaKHiri KHwahish

Irfan Shahood

MORE BYIrfan Shahood

    le chalo dosto

    le chalo qissa-ḳhvānī ke bāzār meñ

    us mohalle ḳhudā-dād ik shikasta galī ke muqaffal makāñ meñ

    ki muddat se vīrāñ kueñ zamīñ chāTtī pyaas ko dekh kar apnī tishna-labī bhuul jā.ūñ

    ġhuTarġhūñ āvāz Darboñ se aatī huī sun ke

    koThe pe jā.ūñ kabūtar uḌā.ūñ

    kisī baaġh se ḳhushk mevoñ sauġhāt le kar sadā.eñ lagā.ūñ

    zabānoñ ke roġhan ko zaitūn ke zā.iqe se milā.ūñ

    jamī sardiyoñ meñ galī ke usī taḳht par narm kirnoñ se chehre pe surḳhī sajā.ūñ

    ki yāroñ un Toliyoñ meñ na.ī dāstāneñ sunā.ūñ

    unhī pān-dānoñ se laalī churā.ūñ

    mujhe un purānī rāhoñ meñ phir le chalo dosto

    haañ mujhe le chalo us basantī dulārī madhu galī meñ

    ki ḳhvāboñ vo raushnī aaj bhī merī āñkhoñ meñ ābād hai

    mere kānoñ meñ us ke tarannum ghanTī

    sahīfoñ sūrat utārī ga.ī hai

    sabhī ko bulāo ki naġhma-sarā.ī ye marhala āḳhirī hai

    bulāo mire raaj ko

    āḳhirī shab hai

    phir se hasīnoñ ke jhurmuT meñ bas āḳhirī ghūñT ke

    fanā ghāTiyoñ meñ

    maiñ yuuñ phail jā.ūñ ki vāpas na aa.uuñ

    suno dosto

    le chalo dosto

    le chalo qissa-KHwani ke bazar mein

    us mohalle KHuda-dad ki ek shikasta gali ke muqaffal makan mein

    ki muddat se viran kuen ki zamin chaTti pyas ko dekh kar apni tishna-labi bhul jaun

    ghuTarghun ki aawaz Darbon se aati hui sun ke

    koThe pe jaun kabutar uDaun

    kisi bagh se KHushk mewon ki saughat le kar sadaen lagaun

    zabanon ke roghan ko zaitun ke zaiqe se milaun

    jami sardiyon mein gali ke usi taKHt par narm kirnon se chehre pe surKHi sajaun

    ki yaron ki un Toliyon mein nai dastanen sunaun

    unhi pan-danon se lali churaun

    mujhe un purani si rahon mein phir le chalo dosto

    han mujhe le chalo us basanti dulari madhu ki gali mein

    ki KHwabon ki wo raushni aaj bhi meri aankhon mein aabaad hai

    mere kanon mein us ke tarannum ki ghanTi

    sahifon ki surat utari gai hai

    sabhi ko bulao ki naghma-sarai ka ye marhala aaKHiri hai

    bulao mere raj ko

    aaKHiri shab hai

    phir se hasinon ke jhurmuT mein bas aaKHiri ghunT pi ke

    fana ghaTiyon mein

    main yun phail jaun ki wapas na aaun

    suno dosto

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now