aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

din ke rup mein raat kahani

Meeraji

din ke rup mein raat kahani

Meeraji

MORE BYMeeraji

    raat ke phaile añdhere meñ koī saaya nahīñ

    jhilmilāte hue kamzor sitāre ye kahe jaate haiñ

    chāñd aa.egā to saa.e bhī chale ā.eñge

    raat ke phaile añdhere meñ koī saaya nahīñ hotā hai

    raat ik baat hai sadiyoñ ka.ī sadiyoñ

    kisī pichhle janam hogī

    raat ke phaile añdhere haiñ koī saaya na thā

    raat phailā añdherā muhtāj

    ik bhikārī thā usī pahlī kiran jo larazte hue aatī hai jagā detī hai

    so.e sāyoñ ko uThā detī hai bedārī meñ

    ziist ke hilte hue jhūmte āsār nazar aate haiñ

    ziist se pahle magar baat koī aur thī

    raat ke phaile añdhere meñ koī saaya na thā

    chāñd ke aane pe saa.e aa.e

    us ke bikhre hue gesū saa.e

    laaj mīThī jhijak bhī saaya

    aur bhī saa.e the halke gahre

    kaalī āñkhoñ ghanerī palkeñ

    apne āġhosh meñ sāyoñ ko liye baiThī thiiñ

    aur un sāyoñ meñ mahsūs huā kartā thā

    dil ġham dil ḳhalish dil tamannā har shai

    ek saaya hai laraztā saaya

    aur mujhe dekhne par us ghanerī chup-chāp

    ek saaya nazar aatī thī

    aisā ik saaya jo ḳhāmosh rahā kartā ho

    aur use dekhte maiñ bhī to ik saaya ban jaatā thā

    saaya ḳhāmosh rahā kartā hai

    aur ik larzish-e-betāb ke hone pe bhī ḳhāmoshī

    raah meñ merī ināñ-gīr huā kartī thī

    us ke bikhre hue gesū saa.e

    laaj mīThī jhijak bhī saaya

    aur bhī saa.e the halke gahre

    kaalī āñkhoñ ghanerī palkeñ

    apne āġhosh meñ sāyoñ ko liye baiThī thiiñ

    aur un sāyoñ meñ mahsūs huā kartā thā

    dil ġham dil ḳhalish dil tamannā har shai

    ek saaya hai laraztā saaya

    aur mujhe dekhne par us ghanerī chup-chāp

    ek saaya nazar aatī thī

    aisā ik saaya jo ḳhāmosh rahā kartā ho

    aur use dekhte maiñ bhī to ik saaya ban jaatā thā

    saaya ḳhāmosh rahā kartā hai

    aur ik larzish-e-betāb ke hone par bhī ḳhāmoshī

    raah meñ merī ināñ-gīr huā kartī thī

    sīdhā jaatā huā rasta bhī to ik saaya thā

    us pe aate hue jaate hue insān tamām

    dhuñdle saa.e the magar saa.e the

    maiñ bhī jaatā huā aatā huā ik saaya thā

    maiñ bhī ik saaya thā kis saaya

    kis ke qadmoñ se lipaTte hue chup-chāp chalā jaatā thā

    kah to duuñ dil meñ ye ġhamnāk ḳhayāl aatā hai

    saaya ḳhāmosh rahā kartā hai

    raat ke saa.e ḳhāmosh rahā karte haiñ

    din ke saa.e to kahā karte haiñ

    biitī lazzat kahānī se

    aur mirī mastī bhī ab din ik saaya hai

    jis ke ek kināre ko shuā sozāñ

    apnī shiddat se jalāne pe miTāne pe tulī baiThī hai

    kaash aa jaa.e ghaTā chhā.e ghaTā aur ban jaa.e

    chaḌhte sūraj zavāl

    chaḌhtā sūraj ye batā detā hai

    baḌhte saa.e haiñ kisī ke ġhammāz

    bahte bahte ye kahe jaate haiñ

    raat ke jaage hue so.e hue uThe haiñ

    dhuup khāte hue laTke laTke

    jab koī pairahan āvezāñ

    ek jhoñke se laraz uThtā hai

    ham-navā.ī ko laraztā huā saaya bhī kahe jaatā hai

    biitī lazzat kahānī sab se

    biitī lazzat bhī mire vāste ik saaya hai

    kisī sūraj ke tale aate hue bādal

    sarsarāte hue jhoñke tarah aatā huā jaatā huā

    bāteñ karne ko vo ik pal bhī nahīñ ruktā thā

    din saaya thā use raat ik baat bhī ma.alūm na thī

    raat ik baat hai sadiyoñ ka.ī sadiyoñ

    aur ab din hai mujhe saa.e nazar aate haiñ

    bolte saa.e nazar aate haiñ

    jaane pahchāne haiñ phir bhī na.e mafhūm samjhāte haiñ samjhāte chale jaate haiñ

    phir palaT aate haiñ

    jaise maiñ jaatā thā aur ke palaT aatā thā

    isī raste pe jo ik saaya thā

    rāsta aaj bhī saaya hai magar ik nayā saaya hai

    raah meñ ek makān

    vo bhī saaya hai udāsī ghanerā sunsān

    raah meñ aatī huī har mūrat

    ek saaya hai chuḌail

    huur us meñ koī aks nazar aatā nahīñ

    dekhte jise maiñ kaañp uThā kartā huuñ

    āñkhoñ meñ ḳhuun utar aatā hai

    sāmne dhuñd chhā jaatī hai

    dil dhaḌaktā chalā jaatā hai

    aur maiñ dekhtā huuñ

    saa.e milte hue ghulte hue kuchh bhuut se ban jaate haiñ

    hinhināte hue hañste haiñ pukār uThte haiñ

    dil meñ kyā dhyān yahī hai ab bhī

    dil meñ kyā dhyān yahī hai ab bhī

    saaya ḳhāmosh rahā kartā hai

    dekh ham bolte haiñ bolte saa.e haiñ tamām

    ham se bach kahāñ jā.egā

    aur maiñ kaañp uThā kartā huuñ

    aur vo bolte haiñ

    kaañp uThā hai laraztā hai ye buzdil nākām

    baat kartā nahīñ hai koī

    ab bhī shāyad ye samajhtā hai larazte dil meñ

    saaya ḳhāmosh rahā kartā hai

    raat ke phaile andhere mein koi saya nahin

    jhilmilate hue kamzor sitare ye kahe jate hain

    chand aaega to sae bhi chale aaenge

    raat ke phaile andhere mein koi saya nahin hota hai

    raat ek baat hai sadiyon ki kai sadiyon ki

    ya kisi pichhle janam ki hogi

    raat ke phaile andhere hain koi saya na tha

    raat ka phaila andhera muhtaj

    ek bhikari tha usi pahli kiran ka jo larazte hue aati hai jaga deti hai

    soe sayon ko uTha deti hai bedari mein

    zist ke hilte hue jhumte aasar nazar aate hain

    zist se pahle magar baat koi aur hi thi

    raat ke phaile andhere mein koi saya na tha

    chand ke aane pe sae aae

    us ke bikhre hue gesu sae

    laj ki miThi jhijak bhi saya

    aur bhi sae the halke gahre

    kali aankhon ki ghaneri palken

    apne aaghosh mein sayon ko liye baiThi thin

    aur un sayon mein mahsus hua karta tha

    dil ka gham dil ki KHalish dil ki tamanna har shai

    ek saya hai larazta saya

    aur mujhe dekhne par us ki ghaneri chup-chap

    ek saya hi nazar aati thi

    aisa ek saya jo KHamosh raha karta ho

    aur use dekhte hi main bhi to ek saya hi ban jata tha

    saya KHamosh raha karta hai

    aur ek larzish-e-betab ke hone pe bhi KHamoshi hi

    rah mein meri inan-gir hua karti thi

    us ke bikhre hue gesu sae

    laj ki miThi jhijak bhi saya

    aur bhi sae the halke gahre

    kali aankhon ki ghaneri palken

    apne aaghosh mein sayon ko liye baiThi thin

    aur un sayon mein mahsus hua karta tha

    dil ka gham dil ki KHalish dil ki tamanna har shai

    ek saya hai larazta saya

    aur mujhe dekhne par us ki ghaneri chup-chap

    ek saya hi nazar aati thi

    aisa ek saya jo KHamosh raha karta ho

    aur use dekhte hi main bhi to ek saya hi ban jata tha

    saya KHamosh raha karta hai

    aur ek larzish-e-betab ke hone par bhi KHamoshi hi

    rah mein meri inan-gir hua karti thi

    sidha jata hua rasta bhi to ek saya tha

    us pe aate hue jate hue insan tamam

    dhundle sae the magar sae the

    main bhi jata hua aata hua ek saya tha

    main bhi ek saya tha kis ka saya

    kis ke qadmon se lipaTte hue chup-chap chala jata tha

    kah to dun dil mein ye ghamnak KHayal aata hai

    saya KHamosh raha karta hai

    raat ke sae hi KHamosh raha karte hain

    din ke sae to kaha karte hain

    biti lazzat ki kahani se

    aur meri masti bhi ab din ka hi ek saya hai

    jis ke ek kinare ko shua sozan

    apni shiddat se jalane pe miTane pe tuli baiThi hai

    kash aa jae ghaTa chhae ghaTa aur ban jae

    chaDhte suraj ka zawal

    chaDhta suraj ye bata deta hai

    baDhte sae hain kisi ke ghammaz

    bahte bahte ye kahe jate hain

    raat ke jage hue soe hue uThe hain

    dhup khate hue laTke laTke

    jab koi pairahan aawezan

    ek jhonke se laraz uThta hai

    ham-nawai ko larazta hua saya bhi kahe jata hai

    biti lazzat ki kahani sab se

    biti lazzat bhi mere waste ek saya hai

    kisi suraj ke tale aate hue baadal ka

    sarsaraate hue jhonke ki tarah aata hua jata hua

    baaten karne ko wo ek pal bhi nahin rukta tha

    din ka saya tha use raat ki ek baat bhi malum na thi

    raat ek baat hai sadiyon ki kai sadiyon ki

    aur ab din hai mujhe sae nazar aate hain

    bolte sae nazar aate hain

    jaane pahchane hain phir bhi nae mafhum samjhate hain samjhate hi chale jate hain

    phir palaT aate hain

    jaise main jata tha aur ja ke palaT aata tha

    isi raste pe jo ek saya tha

    rasta aaj bhi saya hai magar ek naya saya hai

    rah mein ek makan

    wo bhi saya hai udasi ka ghanera sunsan

    rah mein aati hui har murat

    ek saya hai chuDail

    hur ka us mein koi aks nazar aata nahin

    dekhte hi jise main kanp uTha karta hun

    aankhon mein KHun utar aata hai

    samne dhund si chha jati hai

    dil dhaDakta hi chala jata hai

    aur main dekhta hun

    sae milte hue ghulte hue kuchh bhut se ban jate hain

    hinhinate hue hanste hain pukar uThte hain

    dil mein kya dhyan yahi hai ab bhi

    dil mein kya dhyan yahi hai ab bhi

    saya KHamosh raha karta hai

    dekh hum bolte hain bolte sae hain tamam

    hum se bach tu kahan jaega

    aur main kanp uTha karta hun

    aur wo bolte hain

    kanp uTha hai larazta hai ye buzdil nakaam

    baat karta hi nahin hai koi

    ab bhi shayad ye samajhta hai larazte dil mein

    saya KHamosh raha karta hai

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now