din nikalta hai
din nikaltā hai kisī ujle kabūtar kī tarah
aaj kis ne mere dil par haath rakkhā dhuup ke par kī tarah
ghanTiyāñ bajne lagīñ
ek darvāza khulā
aaj mere haath meñ ik phuul hai
log utreñge pahāḌoñ se kisī din shahd ke pyāle liye
ghuḌ-savāroñ ke qadam se jagmagā.eñge babūl
hoñTh kholeñge rasūl
shā'irī kā saath hai
ik parī kā haath hai
jis kī uñglī meñ añgūThī jagmagātī hai kisī dil kī tarah
dil kī tah meñ ik samundar hai jise bedār karnā hai mujhe
paar karnā hai mujhe
us kināre jā.ūñgā
giit aur ummīd le kar ā.ūñgā
tum yahāñ is sunhare pul se mujhe āvāz denā
zindagī ik shor hai hañste hue ghar kī tarah
din nikaltā hai kisī ujle kabūtar kī tarah
din nikalta hai kisi ujle kabutar ki tarah
aaj kis ne mere dil par hath rakkha dhup ke par ki tarah
ghanTiyan bajne lagin
ek darwaza khula
aaj mere hath mein ek phul hai
log utrenge pahaDon se kisi din shahd ke pyale liye
ghuD-sawaron ke qadam se jagmagaenge babul
honTh kholenge rasul
sha'iri ka sath hai
ek pari ka hath hai
jis ki ungli mein anguThi jagmagati hai kisi dil ki tarah
dil ki tah mein ek samundar hai jise bedar karna hai mujhe
par karna hai mujhe
us kinare jaunga
git aur ummid le kar aaunga
tum yahan is sunhare pul se mujhe aawaz dena
zindagi ek shor hai hanste hue ghar ki tarah
din nikalta hai kisi ujle kabutar ki tarah
- Book : Mitti Ki Sundarta Dekho (Pg. 130)
- Author : Sarvat Husain
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.