Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

diwali ki sham

Mohammad Siddiq Muslim

diwali ki sham

Mohammad Siddiq Muslim

MORE BYMohammad Siddiq Muslim

    chhup gayā ḳhurshīd-e-tābāñ aa.ī dīvālī shaam

    har taraf jashn-e-charāġhāñ hai kaisā ehtimām

    DevḌhiyoñ par shādyāne aish ke bajne lage

    aur rañgīñ qumqumoñ se bām-o-dar sajne lage

    itr-o-ambar se havā hai kis qadar mahkī huī

    ḳhushnumā mahtābiyoñ se hai fazā dahkī huī

    phuljhaḌī se phuul yuuñ jhaḌte haiñ jaise kahkashāñ

    har taraf phailā fazā meñ hai paTāḳhoñ dhuāñ

    kyā maze ātish-afshānī hai agnī-bān

    dekh kar ash-ash kare jis ko nazar insān

    haiñ sitāroñ ye laḌiyāñ charāġhoñ qatār

    kūcha-o-bāzār ke dīvār-o-dar haiñ nūr-bār

    baḌh rahā hai sūrat-e-sailāb logoñ hujūm

    har dukāñ par gāhakoñ shor-o-ġhul hai bil-umūm

    raushnī ban kar ḳhushī har samt hai chhā.ī huī

    ek ḳhilqat jis ke jalvoñ tamāshā.ī huī

    chhup gaya KHurshid-e-taban aai diwali ki sham

    har taraf jashn-e-charaghan ka hai kaisa ehtimam

    DewDhiyon par shadyane aish ke bajne lage

    aur rangin qumqumon se baam-o-dar sajne lage

    itr-o-ambar se hawa hai kis qadar mahki hui

    KHushnuma mahtabiyon se hai faza dahki hui

    phuljhaDi se phul yun jhaDte hain jaise kahkashan

    har taraf phaila faza mein hai paTaKHon ka dhuan

    kya maze ki aatish-afshani hai agni-ban ki

    dekh kar ash-ash kare jis ko nazar insan ki

    hain sitaron ki ye laDiyan ya charaghon ki qatar

    kucha-o-bazar ke diwar-o-dar hain nur-bar

    baDh raha hai surat-e-sailab logon ka hujum

    har dukan par gahakon ka shor-o-ghul hai bil-umum

    raushni ban kar KHushi har samt hai chhai hui

    ek KHilqat jis ke jalwon ki tamashai hui

    Source:

    Urdu Ki Nai Kitab (Pg. 84)

    • Author: Ateeq Ahmad Siddiqi, Athar Parvez, Shahryar, Suraiya Husain
      • Publisher: National Council of Educational Research And Training, New Delhi
      • Year of Publication: 1987

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now