Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

disposable

Sarwat Zehra

disposable

Sarwat Zehra

MORE BYSarwat Zehra

    maiñ tumhārī jeb meñ paḌā huā

    tissue paper huuñ

    jise tumhāre zaḳhm ke intizār ke

    bar aane talak

    tumhārī jeb meñ rakhā jā.egā

    maiñ tumhāre pasandīda perfumes meñ se

    kisī bhī naam se

    genuine ke bāzār se ḳharīdī ga.ī

    perfume botal huuñ

    jise tum jab chāhe lagāo

    aur jab chāho dressing Table pe

    rakhe intizār ke supurd kar sakoge

    maiñ tumhāre shaving blade meñ se

    kisī bhī ek naam se ḳharīdā gayā

    blade huuñ

    jo filhāl zang se bachāyā rahā hai

    aur isti.māl ke baad

    use pheñkā sakegā

    maiñ tumhārī jaa.ez zindagī se

    chhupā ke khole ga.e

    bank account chequebōk huuñ

    jo tumhāre purse ke andarūnī ḳhānoñ meñ

    tumhārī yādgār tasāvīr ke hamrāh

    añdhere kāñTe sharaf hāsil kar sakegī

    maiñ

    jadīd hifzān-e-sehhat ke usūloñ ke mutābiq

    pack kiyā huā Tin gilās huuñ

    jo kisī vaqt aur kisī maqām par

    pyaas bujhāne ke baad

    dispose off kiyā jā.egā

    main tumhaari jeb mein paDa hua

    tissue paper hun

    jise tumhaare zaKHm ke intizar ke

    bar aane talak

    tumhaari jeb mein rakha jaega

    ya main tumhaare pasandida perfumes mein se

    kisi bhi nam se

    genuine ke bazar se KHaridi gai

    perfume ki botal hun

    jise tum jab chahe lagao

    aur jab chaho dressing Table pe

    rakhe intizar ke supurd kar sakoge

    ya main tumhaare shawing blade mein se

    kisi bhi ek nam se KHarida gaya

    blade hun

    jo filhaal zang se bachaya ja raha hai

    aur istimal ke baad

    use phenka ja sakega

    ya main tumhaari jaez zindagi se

    chhupa ke khole gae

    bank account ki chequebook hun

    jo tumhaare purse ke andaruni KHanon mein

    tumhaari yaadgar tasawir ke hamrah

    andhere kanTe ka sharaf hasil kar sakegi

    ya main

    jadid hifzan-e-sehhat ke usulon ke mutabiq

    pack kiya hua Tin gilas hun

    jo kisi waqt aur kisi maqam par

    pyas bujhane ke baad

    dispose off kiya jaega

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now