Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

diye aankhon ki surat bujh chuke hain

Najeeb Ahmad

diye aankhon ki surat bujh chuke hain

Najeeb Ahmad

MORE BYNajeeb Ahmad

    vasl ke lamhoñ gintī karne vaale haath hiddat se tahī haiñ

    mauj meñ aa.e hue dariyā meñ kashtī kaun Daale

    māñjhiyoñ ke giit lahroñ tarah sāhil bhīgī ret par bikhre hue haiñ

    ab kisī buḌhiyā gaThrī koī ahl-e-dil uThā kar bastiyoñ ruḳh nahīñ kartā

    kisī ham-sā.e se ahvāl-e-dil ma.alūm karnā kār-e-be-ujrat huā hai

    nafsī nafsī havā.eñ zaat ke tārīk jañgal meñ baḌī āsūdgī se chal rahī haiñ

    ḳhāna-e-dil meñ vafāoñ ke diye āñkhoñ sūrat bujh chuke haiñ

    bhiiḌ meñ rasta nahīñ miltā charāġhoñ qatāroñ meñ charāġh-e-gul nahīñ miltā ki jis par raushnī gul khilā ho

    vasl ke lamhoñ meñ rañg-e-nūr bharne vaalī āñkheñ apnī narmī se tahī haiñ

    vasl ke lamhoñ meñ rañg-e-ishq bharne vaalī poreñ apnī garmī se tahī haiñ

    wasl ke lamhon ki ginti karne wale hath hiddat se tahi hain

    mauj mein aae hue dariya mein kashti kaun Dale

    manjhiyon ke git lahron ki tarah sahil ki bhigi ret par bikhre hue hain

    ab kisi buDhiya ki gaThri koi ahl-e-dil uTha kar bastiyon ka ruKH nahin karta

    kisi ham-sae se ahwal-e-dil malum karna kar-e-be-ujrat hua hai

    nafsi nafsi ki hawaen zat ke tarik jangal mein baDi aasudgi se chal rahi hain

    KHana-e-dil mein wafaon ke diye aankhon ki surat bujh chuke hain

    bhiD mein rasta nahin milta charaghon ki qataron mein charagh-e-gul nahin milta ki jis par raushni ka gul khila ho

    wasl ke lamhon mein rang-e-nur bharne wali aankhen apni narmi se tahi hain

    wasl ke lamhon mein rang-e-ishq bharne wali poren apni garmi se tahi hain

    Source:

    Ibaraten (Pg. 189)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now