Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

do-aba bast jalandhar

Arsh Malsiyani

do-aba bast jalandhar

Arsh Malsiyani

MORE BYArsh Malsiyani

    ai vatan ai lahlahātī khetoñ sar-e-zamīñ

    ai nagīn-e-ḳhātim-e-punjab ai arz-e-hasīñ

    suur bīroñ sūrmāoñ pahalvānoñ ke vatan

    mehnatī bandoñ jiyāloñ ke kisānoñ ke vatan

    janmdātā bhagat-singh aur sharaddhā-nand

    madrasa sūfiyoñ santoñ ke va.az-o-pand

    rai-zādoñ aur sardāroñ ḳhāk-e-pāk

    shā.irān-e-ḳhush-bayāñ marja-e-idrāk

    kitne mausīqār kitne shā.erān-e-ḳhush-navā

    māhir-e-tālīm kitne aur kitne rahnumā

    terī ḳhāk-e-pāk se uThe haiñ kitne nek naam

    āsmān-e-auj par jin ko milā ūñchā maqām

    kitne mardān-e-jarī kitne javānān-e-ġhayūr

    kitne sāheb-e-aql kitne mālik-e-fahm-o-shu.ūr

    zindagī Doltī kashtī ke kitne nāḳhudā

    kitne mardān-e-haqīqat kosh kitne bā-ḳhudā

    ġhairat-e-bāġh-e-iram haiñ khetiyāñ har gaañv meñ

    ḳhuld ārām hai peḌoñ ThanDī chhāñv meñ

    zaad būm-e-arsh rif.at-āshnā terī ḳhaak

    'josh' ke ḳhurshīd-e-ma.anī ziyā se tābnāk

    maiñ ne un rāhoñ meñ dekhī haiñ bahut nairañgiyāñ

    Dholakoñ ke zer-o-bam chimToñ ḳhush-āhañgiyāñ

    haiñ kahīñ sarsoñ kahīñ gehūñ kahīñ ganne ke khet

    hai kahīñ chāñdī paanī kahīñ sone ret

    ik taraf chalte haiñ hal ik samt chalte haiñ ḳharrās

    itnī mehnat aur lab par naġhma-e-shukr-o-sipās

    gosha gosha terā nūr-e-ilm se ma.amūr hai

    zarra zarra hāmil-e-nūr-e-charāġh-e-tūr hai

    terī punjabi zabāñ meñ lutf-e-shahd-o-qand hai

    is qadar saada ki har rāh-e-takalluf band hai

    sabt hai duniyā pe terā sikka-e-farzāñgī

    ilm ḳhātir dikhā.ī ne vo dīvāngī

    jis jagah se bhī milā hai mujh ko jo har tujh meñ hai

    'malsiyāñ' tujh meñ 'nakodar' tujh meñ 'shañkar' tujh meñ hai

    'malsiyāñ' ḳhaak se uThā 'nakodar' meñ palā

    bārhā maiñ vālihānā āzim-e-'shañkar' huā

    uf vo mele chaukiyoñ ke uf vo mīThī boliyāñ

    yaad haiñ ab tak mujhe vo sar-phiroñ Toliyāñ

    vo zamāna jin dinoñ khaḌkā basantā the javāñ

    maiñ yahāñ har saal aa kar dekhtā thā kashtiyāñ

    ik taraf mele meñ hotā pahalvānoñ hujūm

    dūsrī jānib yahāñ shatranj machtī thī dhuum

    chhinj melā bhī thā shatranj melā bhī thā

    shātirī meñ fard chhajju-rām se khelā bhī thā

    savarn-singh is ḳhaak beTā hai ham-maktab mirā

    ahd-e-tiflī meñ thā jo ham-rāz-o-ham-mashrāb mirā

    faḳhr-e-shañkar haiñ rulā-rām aur mathurā-dās bhī

    qābil-e-izzat narindar-singh se syaas bhī

    pahalvānoñ meñ hai pur-tāzīm 'girdāvar' naam

    shātiroñ meñ hasan-lāl ik shātir-e-ālī-e-maqām

    assalām ai bast jālandhar do-ābe zamīñ

    haiñ do-ābe to bahut tujh magar koī nahīñ

    ai watan ai lahlahati kheton ki sar-e-zamin

    ai nagin-e-KHatim-e-punjab ai arz-e-hasin

    sur biron surmaon pahalwanon ke watan

    mehnati bandon jiyalon ke kisanon ke watan

    tu janmdata bhagat-singh aur sharaddha-nand ka

    madrasa tu sufiyon santon ke waz-o-pand ka

    rai-zadon aur sardaron ki KHak-e-pak tu

    shairan-e-KHush-bayan ka marja-e-idrak tu

    kitne mausiqar kitne shaeran-e-KHush-nawa

    mahir-e-talim kitne aur kitne rahnuma

    teri KHak-e-pak se uThe hain kitne nek nam

    aasman-e-auj par jin ko mila uncha maqam

    kitne mardan-e-jari kitne jawanan-e-ghayur

    kitne saheb-e-aql kitne malik-e-fahm-o-shuur

    zindagi ki Dolti kashti ke kitne naKHuda

    kitne mardan-e-haqiqat kosh kitne ba-KHuda

    ghairat-e-bagh-e-iram hain khetiyan har ganw mein

    KHuld ka aaram hai peDon ki ThanDi chhanw mein

    zad bum-e-arsh rifat-ashna teri KHak

    'josh' ke KHurshid-e-mani ki ziya se tabnak

    main ne un rahon mein dekhi hain bahut nairangiyan

    Dholakon ke zer-o-bam chimTon ki KHush-ahangiyan

    hain kahin sarson kahin gehun kahin ganne ke khet

    hai kahin chandi sa pani kahin sone si ret

    ek taraf chalte hain hal ek samt chalte hain KHarras

    itni mehnat aur lab par naghma-e-shukr-o-sipas

    gosha gosha tera nur-e-ilm se mamur hai

    zarra zarra hamil-e-nur-e-charagh-e-tur hai

    teri punjabi zaban mein lutf-e-shahd-o-qand hai

    is qadar sada ki har rah-e-takalluf band hai

    sabt hai duniya pe tera sikka-e-farzangi

    ilm ki KHatir dikhai tu ne wo diwangi

    jis jagah se bhi mila hai mujh ko jo har tujh mein hai

    'malsiyan' tujh mein 'nakodar' tujh mein 'shankar' tujh mein hai

    'malsiyan' ki KHak se uTha 'nakodar' mein pala

    barha main walihana aazim-e-'shankar' hua

    uf wo mele chaukiyon ke uf wo miThi boliyan

    yaad hain ab tak mujhe wo sar-phiron ki Toliyan

    wo zamana jin dinon khaDka basanta the jawan

    main yahan har sal aa kar dekhta tha kashtiyan

    ek taraf mele mein hota pahalwanon ka hujum

    dusri jaanib yahan shatranj ki machti thi dhum

    chhinj ka mela bhi tha shatranj ka mela bhi tha

    shatiri mein fard chhajju-ram se khela bhi tha

    sawarn-singh is KHak ka beTa hai ham-maktab mera

    ahd-e-tifli mein tha jo ham-raaz-o-ham-mashrab mera

    faKHr-e-shankar hain rula-ram aur mathura-das bhi

    qabil-e-izzat narindar-singh se syas bhi

    pahalwanon mein hai pur-tazim 'girdawar' ka nam

    shatiron mein hasan-lal ek shatir-e-ali-e-maqam

    assalam ai bast jalandhar do-abe ki zamin

    hain do-abe to bahut tujh sa magar koi nahin

    Source:

    Sharar-e-sang (Pg. 54)

    • Author: Arsh Malsiyani
      • Edition: 1967
      • Publisher: Markaz Tasneef-o-Talif, Nikodar
      • Year of Publication: 1967
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now