Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

do bund pani

Nasreen Anjum Sethi

do bund pani

Nasreen Anjum Sethi

MORE BYNasreen Anjum Sethi

    kyā merī āñkhoñ meñ sannāTā hai

    nahīñ barf-bārī ho rahī hai

    log mujh se ḳhauf khāne lage haiñ jaise murde se

    kyā mujh se kāfūr aatī hai

    nahīñ to merī sāñsoñ meñ sāvan abas aur amaltās garmī hai

    aur sāñso aur āñkhoñ ke darmiyān

    fāsla ziyāda nahīñ

    phir bhī bahut hai

    is liye ki ḳhatm ho jaa.e to strugle ḳhatm ho jaa.e

    zindagī ko jaarī to rakhnā hai intiqām

    raat bahut paḌī hai alaav jaltā rahe to achchhā hai

    jānvar dhueñ se ḳhauf khāte haiñ

    aur insān raakh se

    aag merā suhāg hai

    āshiqoñ ke diloñ par haañ nahīñ hote ki maañg nikāl kar aag bhar jaa.e

    is liye un ke dil phaT jaate haiñ

    aag andar utar jaatī hai

    uupar barf girtī rahtī hai

    kapās ke phūloñ par moharram mausam hai yā-husainā vā-husainā

    kapās dhunkī huī āsmāñ chhātī se barastī hai

    ThanDī Thaar palkeñ bhī nahīñ jhapaktīñ

    palkoñ jhālareñ safed ho jaatī haiñ barf ban kar un meñ aTī rahtī hai

    aur andar barāmde ḳhālī ho jaate haiñ session mag jaatā hai

    laḌkī nāḳhun kāTtī hai to chāñd us hathelī par utar aatā hai

    tumhārā dūlhā bahut ḳhūb-sūrat hogā

    donoñ hatheliyāñ joḌo to bhalā

    chāñd to puurā ho gayā magar raushnī hāthoñ meñ band nahīñ ho sakī

    phail ga.ī hatheliyoñ meñ chhed the

    scientific baat hai

    aag amiir suhāg sab laḌkiyoñ ke diloñ meñ nahīñ jaltī is liye ki sab

    laḌkiyāñ āshiq nahīñ hotīñ

    mahbūbā.eñ hotī haiñ

    aur un āñkhoñ ke barāmde ḳhvān se saje rahte haiñ

    barf-bārī un ke liye session hai mere liye mausam apne mashriq ma.anoñ ke saath

    sūraj tulūa hotā hai

    barf-bārī aur bulandiyoñ par chaḌh ga.ī

    jānvar maidānoñ meñ nikal aa.e palkeñ ḳhāna-ba-dosh ho ga.iiñ

    apnā sāvan uThā.e uThā.e

    ghaaT ghaaT do band paanī islām-ābād meñ na rājasthān meñ

    barf nahr nikālī jā.egī

    aur mahbūbā.eñ aag ke bistar par leT kar mīThī barf ke gole chūseñgī

    abhī un umr kyā hai

    abhī to ye log small-chickens-of-snakes pāltī haiñ

    māthe par kunDal Dāltī haiñ

    chāhe jaane ke liye

    lambī sunahrī kaar aur

    do buuñd paanī

    na barfistān meñ na ātish-dān meñ

    laḌkī jins tabdīl ho rahī hai

    laḌkī dūlhā do buuñd paanī ḳhātir havā ho gayā

    laḌkī scare-crow ho ga.ī shāyad dūlhā ke bhā.iyoñ ke khetoñ meñ

    achchhā hai dar-badarī hone se to bach rahī

    bach rahī to use bachāne

    us dūlhā zarūr aa.egā

    kya meri aankhon mein sannaTa hai

    nahin barf-bari ho rahi hai

    log mujh se KHauf khane lage hain jaise murde se

    kya mujh se kafur ki bu aati hai

    nahin to meri sanson mein sawan ka abas aur amaltas ki garmi hai

    aur sanso aur aankhon ke darmiyan

    fasla ziyaada nahin

    phir bhi bahut hai

    is liye ki KHatm ho jae to strugle hi KHatm ho jae

    zindagi ko jari to rakhna hai intiqam

    raat bahut paDi hai alaw jalta rahe to achchha hai

    jaanwar dhuen se KHauf khate hain

    aur insan rakh se

    aag mera suhag hai

    aashiqon ke dilon par han nahin hote ki mang nikal kar aag bhar di jae

    is liye un ke dil phaT jate hain

    aag andar utar jati hai

    upar barf girti rahti hai

    kapas ke phulon par moharram ka mausam hai ya-husaina wa-husaina

    kapas dhunki hui aasman ki chhati se barasti hai

    ThanDi Thaar palken bhi nahin jhapaktin

    palkon ki jhaalaren safed ho jati hain barf ban kar un mein aTi rahti hai

    aur andar baramde KHali ho jate hain session mag jata hai

    laDki naKHun kaTti hai to chand us ki hatheli par utar aata hai

    tumhaara dulha bahut KHub-surat hoga

    donon hatheliyan joDo to bhala

    chand to pura ho gaya magar raushni hathon mein band nahin ho saki

    phail gai hatheliyon mein chhed the

    scientific si baat hai

    aag amir suhag sab laDkiyon ke dilon mein nahin jalti is liye ki sab

    laDkiyan aashiq nahin hotin

    mahbubaen hoti hain

    aur un ki aankhon ke baramde KHwan se saje rahte hain

    barf-bari un ke liye session hai mere liye mausam apne mashriq manon ke sath

    suraj tulua hota hai

    barf-bari aur bulandiyon par chaDh gai

    jaanwar maidanon mein nikal aae palken KHana-ba-dosh ho gain

    apna sawan uThae uThae

    ghaT ghaT do band pani islam-abaad mein na rajasthan mein

    barf ki nahr nikali jaegi

    aur mahbubaen aag ke bistar par leT kar miThi barf ke gole chusengi

    abhi un ki umr hi kya hai

    abhi to ye log small-chickens-of-snakes palti hain

    mathe par kunDal Dalti hain

    chahe jaane ke liye

    lambi sunahri kar aur

    do bund pani

    na barfistan mein na aatish-dan mein

    laDki ki jins tabdil ho rahi hai

    laDki ka dulha do bund pani ki KHatir hawa ho gaya

    laDki scare-crow ho gai shayad dulha ke bhaiyon ke kheton mein

    achchha hai dar-badari hone se to bach rahi

    bach rahi to use bachane

    us ka dulha zarur aaega

    Source:

    meyaar (Pg. 103)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now