Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

do din ki chandni

Sareer Kabiri

do din ki chandni

Sareer Kabiri

MORE BYSareer Kabiri

    vo ek din thā ki saarī duniyā ne aa ke tahzīb ham se sīkhī

    ye ek din hai ki ham meñ ab husn-e-zāhirī hai na bātinī hai

    vo ek din thā ki saarā aalam baḌhātā thā haath dostī

    ye ek din hai ki ham se yāroñ ko aaj nafrat hai dushmanī hai

    vo ek din thā ki ġhair qaumoñ se bhī hamārā thā bhā.ī-chāra

    ye ek din hai ki aaj bhaa.ī apne bhaa.ī se bad-zanī hai

    vo ek din thā ki apne ishrat-kadoñ pe raunaq baras rahī thī

    ye ek din hai ki aaj apne gharoñ pe hirmāñ chhāvnī hai

    vo ek din thā ki ham ne jamhūriyat ta.alīm aam thī

    ye ek din hai ki aaj zindāñ hai aur zanjīr āhanī hai

    vo ek din thā ki zindagī apnī kaT rahī thī hañsī-ḳhushī meñ

    ye ek din hai ki jiite mar chuke haiñ chehre pe murdanī hai

    jo vo zamāna nahīñ rahā hai to ye zamāna bhī kaT rahegā

    uruuj do din mehmāñ hai faroġh do din chāñdnī hai

    wo ek din tha ki sari duniya ne aa ke tahzib hum se sikhi

    ye ek din hai ki hum mein ab husn-e-zahiri hai na baatini hai

    wo ek din tha ki sara aalam baDhata tha hath dosti ka

    ye ek din hai ki hum se yaron ko aaj nafrat hai dushmani hai

    wo ek din tha ki ghair qaumon se bhi hamara tha bhai-chaara

    ye ek din hai ki aaj bhai ki apne bhai se bad-zani hai

    wo ek din tha ki apne ishrat-kadon pe raunaq baras rahi thi

    ye ek din hai ki aaj apne gharon pe hirman ki chhawni hai

    wo ek din tha ki hum ne jamhuriyat ki talim aam ki thi

    ye ek din hai ki aaj zindan hai aur zanjir aahani hai

    wo ek din tha ki zindagi apni kaT rahi thi hansi-KHushi mein

    ye ek din hai ki jite ji mar chuke hain chehre pe murdani hai

    jo wo zamana nahin raha hai to ye zamana bhi kaT rahega

    uruj do din ka mehman hai farogh do din ki chandni hai

    Source:

    Do Aatisha (Pg. 80)

    • Author: Sareer Kabiri
      • Publisher: Sayyad Mohammad Daood Akhtar Kabari
      • Year of Publication: 1985
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now