Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

do paise mein tin khilaune

Anwar Afsar Shuoor

do paise mein tin khilaune

Anwar Afsar Shuoor

MORE BYAnwar Afsar Shuoor

    do paise meñ tiin khilaune do paise meñ tiin

    saada aur rañgīn

    ye chīnī guḌiyā hai

    ek taraf se nannhī munnī ek taraf se buḌhiyā hai

    jeb meñ yuuñ aa jaatī hai ye jaise zarā puḌiyā hai

    saada aur rañgīn

    do paise meñ tiin khilaune do paise meñ tiin

    ye miTTī ghoḌī hai

    is maañg bahut hai lekin is qīmat thoḌī hai

    saath agar ghoḌā bhī ho to sab se achchhī joḌī hai

    saada aur rañgīn

    do paise meñ tiin khilaune do paise meñ tiin

    ye chhoTī motor hai

    Tillū aao pillū aao dekho kaisī motor hai

    sab se behtar sab se pyārī sab se achchhī motor hai

    saada aur rañgīn

    do paise meñ tiin khilaune do paise meñ tiin

    ye chiḌiyā bachcha hai

    is meñ bilkul jaan nahīñ hai jism bhī kuchh kuchh kachchā hai

    jhuuT nahīñ bolūñgā hargiz merā va.ada sachchā hai

    saada aur rañgīn

    do paise meñ tiin khilaune do paise meñ tiin

    ye tote piñjra hai

    ik nanhā munnā totā is meñ gum-sum baiThā hai

    kuchh nahīñ khātā kuchh nahīñ piitā yuuñ baiThā rahtā hai

    saada aur rañgīn

    do paise meñ tiin khilaune do paise meñ tiin

    do paise mein tin khilaune do paise mein tin

    sada aur rangin

    ye chini ki guDiya hai

    ek taraf se nannhi munni ek taraf se buDhiya hai

    jeb mein yun aa jati hai ye jaise zara si puDiya hai

    sada aur rangin

    do paise mein tin khilaune do paise mein tin

    ye miTTi ki ghoDi hai

    is ki mang bahut hai lekin is ki qimat thoDi hai

    sath agar ghoDa bhi ho to sab se achchhi joDi hai

    sada aur rangin

    do paise mein tin khilaune do paise mein tin

    ye chhoTi si motor hai

    Tillu aao pillu aao dekho kaisi motor hai

    sab se behtar sab se pyari sab se achchhi motor hai

    sada aur rangin

    do paise mein tin khilaune do paise mein tin

    ye chiDiya ka bachcha hai

    is mein bilkul jaan nahin hai jism bhi kuchh kuchh kachcha hai

    jhuT nahin bolunga hargiz mera wada sachcha hai

    sada aur rangin

    do paise mein tin khilaune do paise mein tin

    ye tote ka pinjra hai

    ek nanha munna sa tota is mein gum-sum baiTha hai

    kuchh nahin khata kuchh nahin pita yun hi baiTha rahta hai

    sada aur rangin

    do paise mein tin khilaune do paise mein tin

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now